Hadith Number : 23
“Imam Fakhr-ud-Deen Razi ﴿ “یٰۤاَیُّہَا الرَّسُوۡلُ بَلِّغۡ مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ مِنۡ رَّبِّک ﴾ [Al-Ma’idah, 05 : 67]…. (Aye {Barguzida} Rasool! Jo Kuchh Aap Kee Taraf Aap Ke Rabb Kee Jaanib Se Naazil Kiya Gaya Hai {Woh Saara Logo’n Ko} Pahuncha Dijiye)…. Ka Shaane Nuzool Bayan Karte Hu’e Farmate Hain :
Yeh Aayate Mubarak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Fazilat Me Naazil Hu’i Hai, Jab Yeh Aayate Mubarak Naazil Hu’i To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakada Aur Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe, Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe. Us Ke (Fauran) Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Farmaya : Aye Ibn Abi Talib! Aap Ko Mubarak Ho, Ab Aap Mere Aur Har Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye Hain. Ise ‘Abd Allah Bin ‘Abbas, Bara’ Bin ‘Aazib Aur Muhammad Bin ‘Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ne Riwayat Kiya Hai.”
–
[1-Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 12/49, 50,
2-Ibn Abi Hatim Razi Ne “Tafsir Al-Qur’an Al-Azim (04/1172, Raqam-6609)” Mein ‘Atiyyah ‘Awfi Se Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwayat Naqal Kee Ki Soorah Al-Ma’idah Kee Aayat No. 67 Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Naazil Hu’i.
Ilaawah Azi’n Darje Zayl Ne Bhi Yeh Riwayat Naqal Kee Hai :
3-Wahidi Fi Asbab-un-Nuzool,/115,
4-Siyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 02/298,
5-Aloosi Fi Rooh-ul-Ma’ani Fi Tafsir Al-Qur’an Al-Azim Wa Al-Sab’ Al-Mathani, 06/193,
6-Shawkani Fi Fat’h-ul-Qadir Al-Jami’ Bayna Fanni Ar-Riwayah Wa’d-Dirayah Min ‘Ilm-it-Tafsir, 02/60.]