Hadith Number : 28
“Mutazakkarih Baala Hadith Ko Doosre Maqaam Par Ibn Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Alfaaz Ke Thode Se Ikhtilaaf Ke Saath Yoo’n Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Un Logo’n Ko Kya Ho Gaya Hai Jo ‘Ali Kee Shaan Me Gustaakhi Karte Hain! (Jaan Lo) Jo ‘Ali Kee Gustaakhi Karta Hai Woh Meri Gustaakhi Karta Hai Aur Jo ‘Ali Se Juda Huwa Woh Mujh Se Juda Ho Gaya. Be Shak ‘Ali Mujh Se Hai Aur Mein ‘Ali Se Hoo’n, Us Kee Takhliq Meri Mitti Se Hu’i Hai Aur Meri Takhliq Ibrahim Kee Mitti Se, Aur Mein Ibrahim Se Afzal Hoo’n. Hum Me Se Ba’z Ba’z Kee Awlaad Hain, Allah Ta’ala Yeh Saari Baatein Sun’ne Aur Jaan’ne Waala Hai…….. Woh Mere Baa’d Tum Sab Ka Wali Hai. (Buraydah Bayan Karte Hain Ki) Mein Ne Kaha : Ya RasoolAllah ﷺ! Kuchh Waqt Inaayat Farmaein Aur Apna Haath Badhaaein, Mein Tajdide Islam Kee Bay’at Karna Chaahta Hoo’n, (Aur) Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Juda Na Huwa Yaha’n Tak Ki Mein Ne Islam Par (Do Baara) Bay’at Kar Lee.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/49, 50, Raqam-6081,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/128.]