Hadith Number : 02
“Hazrat ‘Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Log ‘Ali Ke Mut’alliq Kya Chaahte Ho? Tum Log ‘Ali Ke Mut’alliq Kya Chaahte Ho? Tum Log ‘Ali Ke Mut’alliq Kya Chaahte Ho? Phir Farmaya : Be Shak ‘Ali Mujh Se Hai Aur Mein ‘Ali Se Hoo’n Aur Woh Mere Baa’d Har Momin Ka Wali Hai.”
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 06/78, Raqam-3712,
2-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/77, 92, Raqam-65, 86,
3-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/132, Raqam-8484,
4-Ahmad Bin Hanbal Kee “Al-Musnad (04/437, 438)” Me Bayan Kardah Riwayat Ke Aakhiri Alfaaz Yeh Hain :
“Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Chehra-e-Mubarak Mutaghayyir Ho Gaya, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ‘Ali (Kee Mukhaalifat Karna) Chhod Do, ‘Ali (Kee Mukhaalifat Karna) Chhod Do, Be Shak ‘Ali Mujh Se Hai Aur Mein ‘Ali Se Hoo’n Aur Woh Mere Baa’d Har Momin Ka Wali Hai.”
5-Ibn Kathir Ne Imam Ahmad Kee Riwayat “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (05/458)” Me Naqal Kee Hai.
6-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/620, Raqam-1060,
7-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/80, Raqam-12170,
8-Hakim Ne “Al-Mustadrak (03/110, 111, Raqam-4579)” Me Is Riwayat Ko Muslim Kee Shara’it Ke Mutaabiq Sahih Qaraar Diya Hai, Jab Ki Dhahabi Ne Is Par Khaamoshi Ikhtiyaar Kee Hai.
9-Ibn Hibban Ne “As-Sahih (15/373, 374, Raqam-6929)” Me Yeh Hadith Qawi Sanad Se Riwayat Kee Hai.
10-Aboo Ya’la Ne “Al-Musnad (01/293, Raqam-355)” Me Ise Riwayat Karte Hu’e Kaha Hai Ki Is Ke Reejaal Sahih Hain, Jab Ki Ibn Hibban Ne Bhi Ise Sahih Qaraar Diya Hai.
11-Tayalisi Kee “Al-Musnad (Shaf’h/111, Raqam-829), Me Bayaan Kardah Riwayat Me Yeh Alfaz Bhi Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ما لهم و لعلى (Unhein ‘Ali Ke Baare Me Itni Tashwish Kyoo’n Hai)?
12-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/294,
13-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/129,
14-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/543, Raqam-2203,
15-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/142, Raqam-36444,
Nasa’i Kee Bayan Karda Dono’n Riwayat Kee Isnaad Sahih Hain.”]