Hadith Number : 08
“Ibn Wathilah Se Riwayat Ki Unhone Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Makkah Aur Madinah Ke Darmiyan Paanch-05 Bade Ghane Darakhto’n Ke Qareeb Padaaao Kiya Aur Logo’n Ne Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kuchh Der Aaraam Farmaya. Namaz Ada Farmayi, Phir Khitaab Farmane Ke Li’e Khade Hu’e. Allah Ta’ala Kee Hamd Wa Thana Bayan Farmayi Aur Wa’z-o-Naseehat Farmayi, Phir Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bayan Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mein Tumhare Darmiyan Do² Chizein Chhod Kar Ja Raha Hoo’n, Jab Tak Tum In Kee Pairawi Karoge Kabhi Ghumraah Nahin Hoge Aur Woh (Do² Chizein) Allah Kee Kitab Aur Mere Ahle Bayt/Aulaad Hain.” Is Ke Baa’d Farmaya : “Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qareeb Tar Hoo’n?” Aisa Teen³ Martaba Farmaya. Sab Ne Kaha : Haa’n! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/109, 110, Raqam-4577,
2-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/168,
3-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/164,
4-Hisma-ud-Deen Hindi, Kanz-ul-’Ummal, 01/381, Raqam-1657.]