Hadith Number : 09
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hum RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Nikle Yaha’n Tak Ki Ghadir Khum Pahunch Ga’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saa’ebaan Lagaane Ka Hukm Diya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Din Thakaawat Mahsoos Kar Rahe They Aur Woh Din Bahot Garm Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Allah Kee Hamd Wa Thana Bayaan Kee Aur Farmaya : “Aye Logo’n! Allah Ta’ala Ne Jitne Nabi Bheje Har Nabi Ne Apne Se Pehle Nabi Se Nisf Zindagi Paa’i, Aur Mujhe Lagta Hai Ki Anqarib Mujhe (Wisaal Ka) Bulaawa Aane Ko Hai Jise Mein Qubool Kar Lunga. Mein Tumhare Andar Woh Chiz Chhode Ja Raha Hoo’n Ki Us Ke Hote Hu’e Tum Hargiz Gumraah Nahin Howoge, Woh Kitabullah Hai.” Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khade Hu’e Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Thaam Liya Aur Farmaya : “Aye Logo’n! Koun Hai Jo Tumhari Jaano’n Se Ziyadah Qareeb Hai?” Sab Ne Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Behtar Jaante Hain. (Phir) Farmaya : “Kya Mein Tumhari Jaano’n Se Qareeb Tar Nahin Hoo’n?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/533, Raqam-6272,
2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/171, 172, Raqam-4986,
3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/602, Raqam-32904,
Yeh Hadith Shaykhain Kee Shara’it Par Sahih Hai Aur Imam Dhahabi Ne Bhi Ise Sahih Qaraar Diya Hai.]