Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 10

Hadith Number : 10

“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Teen³ Khaslatein Aisi Bataayi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Ek Ka Bhi Haamil Hota To Woh Mujhe Surkh Oonto‘n Se Ziyadah Mahboob Hoti. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Ek Mauqa’ Par) Irshad Farmaya : “‘Ali Meri Jagah Par Is Tarah Hain Jaise Haroon Moosa Kee Jagah Par They, Magar Mere Baa’d Ko’i Nabi Nahin.” Aur Farmaya : “Mein Aaj Us Shakhs Ko ‘Alam Ata Karunga Jo Allah Aur Us Ke Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah Aur Us Ka Rasool Us Se Muhabbat Karte Hain.” (Raawi Kahte Hain Ki) Mein Ne Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Is Mauqa’ Par) Yeh Farmate Hu’e Bhi Suna : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim, 33, 34, 88, Raqam-10, 80,

2-Shashi Ne “Al-Musnad (01/165, 166, Raqam-106)” Me Yeh Riwayat ‘Aamir Bin Sa’d Bin Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Lee Hai.

3-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/88)” Me ‘Aamir Bin Sa’d Aur Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Ahadith Bayan Kee Hain.

4-Hisam-ud-Deen Hindi Ne “Kanz-ul-’Ummal (15/163, Raqam-36496)” Me ‘Aamir Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Yeh Riwayat Chand Alfaaz Ke Izaafe Ke Saath Zikr Kee.

Is Hadith Kee Isnaad Sahih Hain.]