Hadith Number : 11
“Sufyan Bin ‘Uyaynah (Manaqibe ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Zimn Me) Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Chaar⁴ Khoobiya’n Aisi Hain Ki Agar Mein Un Me Se Kisi Ek Ka Bhi Haamil Hota To Use Fula’n Fula’n Chiz Hatta Ki Surkh Oonto’n Se Ziyadah Mahboob Rakhta.
Woh Chaar⁴ Khoobiya’n Yeh Thi’n : (Pehli Khoobi Unhein Ghazwa-e-Khaybar Ke Mauqa Par) ‘Alam (Jhande) Ka Ata Hona Hai. (Doosri Khoobi) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Un Ke Mut’alliq Yeh Farmana Ki (Tera Aur Mera Ta’alluq Aise Hai) Jaise Haroon Aur Moosa Ka (Ta’alluq Hai). (Tisri Khoobi) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Un Ke Mut’alliq Yeh Farmana Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n (Us Ka ‘Ali Mawla Hai).
(Raawi-e-Hadith) Sufyan Bin ‘Uyaynah Ko Chouthi Khoobi Bhool Ga’e.”
–
[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/607, Raqam-1385,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/643, Raqam-1093,
3-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 03/151, Raqam-948,
4-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/89, 91)” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Chaar⁴ Khoobiya’n Bil-Tafseel Likhi Hain.
Ahmad Bin Hanbal Kee Bayan Kardah Riwayat Kee Isnaad Hasan Hain.]