Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 13

Hadith Number : 13

“Rafa’ah Bin Iyaas Dabbi Apne Waalid Se Aur Woh Us Ke Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Hum Jamal Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath They. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Talhah Bin ‘Ubaydullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Taraf Mulaqat Ka Paigham Bheja. Pas Talhah Un Ke Paas Aa’e. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “Mein Aap Ko Allah Kee Qasam Deta Hoo’n, Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe To Use Dost Rakkh, Jo Us Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh?” Hazrat Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Haa’n! Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Kaha : “To Phir Mere Saath Kyoo’n Jung Karte Ho?” Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Mujhe Yeh Baat Yaad Nahin Thi. Raawi Ne Kaha : (Us Ke Baa’d) Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waapas Laut Ga’e.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/371, Raqam-5594,

2-Bayhaqui Fi Al-I’tiqad,/373,

3-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 27/76,

4-Haythami Ne “Majma’-uz-Zawa’id (09/107)” Me Likha Hai Ki Yeh Hadith Bazzar Ne Nazir Se Riwayat Kee Hai.

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 11/332, Raqam-31662.]