Hadith Number : 14
“Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Yaman Ke Ghazwah Me Shirkat Kee Jis Me Mujhe Aap Se Kuchh Shikwa Huwa. Jab Me Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas (Jung Se) Waapas Aaya To Mein Ne Us Waqt Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Zikr Na-Munasib Andaaz Se Kiya. Mein Ne Dekha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Chehra-e-Mubarak Mutaghayyir Ho Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Buraydah! Kya Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” To Mein Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Us Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/347,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/584, 585, Raqam-988,
3-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/130, Raqam-8465,
4-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/86, Raqam-78,
5-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/110, Raqam-4578,
6-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/84, Raqam-12181,
7-Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/325, 326,
8-Shashi Fi Al-Musnad, 01/127,
9-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Raqam-348,
10-Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi, 10/147,
11-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/23,
12-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/142, 146, 148,
13-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128,
14-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/168, 05/457)” Me Kaha Hai Ki Nasa’i Kee Bayan Kardah Riwayat Kee Isnaad Jayyad Qawi Hain Aur Is Ke Tamaam Rijaal Thiqah Hain.
15-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/134, Raqam-36422.]