Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 15

Hadith Number : 15

“Hazrat Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Yeh Kahte Hu’e Suna : Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Ek Waadi…. Jise Waadi-e-Khum Kaha Jaata Tha…. Me Utre. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwaayi. Phir Hamein Khutba Diya Dar Hala’n Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sooraj Kee Garmi Se Bachaane Ke Li’e Darakht Par Kapda Latka Kar Saaya Kiya Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Tum Nahin Jaante Ya (Is Baat Kee) Gawaahi Nahin Dete Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Qarib Tar Hoo’n?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Pas Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe Aur Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/372,

2-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,

3-Tabarani Ne Yeh Hadith “Al-Mu’jam-ul-Kabir (05/195, Raqam-5068)” Me Ek Aur Sanad Se Riwayat Kee Hai.

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/157, Raqam-36485,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166,

7-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/172)” Me Is Riwayat Kee Sanad Ko Jayyad Aur Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.]