Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 16

Hadith Number : 16

“‘Atiyyah ‘Awfi Se Riwayat Hai, Woh Kahte Hain Ki Mein Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Puchha : Mera Ek Daamaad Hai Jo Ghadir Khum Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Shaan Me Aap Kee Riwayat Se Hadith Bayan Karta Hai. Mein Chaahta Hoo’n Ki Use Aap Se (Baraahe Raast) Sunu. Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Aap Ahle Iraq Hain Tumhari Aadatein Tumhein Salaamat Rahein. Pas Mein Ne Kaha Ki Meri Taraf Se Tumhein Ko’i Aziyyat Nahin Pahunchegi. (Us Par) Unhone Kaha : Hum Juhfah Ke Maqaam Par They Ki Zuhr Ke Waqt Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Baazoo Thaamein Hu’e Baahar Tashrif Laa’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tumhein Ilm Nahin Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n?” To Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.” ‘Atiyyah Ne Kaha : Mein Ne Mazeed Puchha : Kya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Irshad Farmaya : “Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh?” Zayd Bin Arqam Ne Kaha : Mein Ne Jo Kuchh Suna Tha Woh Tumhein Bayan Kar Diya Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/368,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/586, Raqam-992

3-Nasa’i Ne Yeh Hadith Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Khsa’is Amir-ul-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Saf’h,/97, Raqam-92)” Me Alfaaz Ke Ma’mooli Ikhtilaf Ke Saath Riwayat Kee Hai. Us Ke Baare Me Haythami Ne “Majma’-uz-Zwa’id (09/107)” Me Kaha Hai Ki Ise Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/195, Raqam-5070,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/165,

6-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/105, Raqam-36343,

7-Maymoon Aboo ‘Abd Allah Bayan Karte Hain Ki Ek Shakhs Ne Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Puchha To Unhone Yeh Hadith Mubarak Bayan Kee. Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal (13/104, 105, Raqam-36342)” Me Bayan Kee Hai.]