Hadith Number : 18
“Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maqame Khum Par Ek Darakht Ke Neeche Khade Hu’e Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakda Huwa Tha. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Aye Logo’n! Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Tumhara Rabb Hai?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshad Farmaya : “Kya Tum Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Aur Us Ka Rasool Tumhari Jaano’n Se Bhi Qarib Tar Hain?” Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai.”
–
[1-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/603, Raqam-1360,
2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/161, 162,
3-Hisam-ud-Deen Hindi Ne Yeh Hadith “Kanz-ul-’Ummal (13/140, Raqam-36441)” Me Naqal Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Ise Ibn Rahwayh, Ibn Jarir, Ibn Abi ‘Asim Aur Mahamili Ne “Amali” Me Riwayat Kiya Hai Aur Ise Sahih Qadaar Diya Hai.]