Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 19

Hadith Number : 19

“Hazrat Hudhayfah Bin Usayd Ghaffari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Logo’n! Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Allah Ne Har Nabi Ko Apne Se Pehle Nabi Kee Nisf ‘Umar Ata Farmayi Aur Mujhe Gumaan Hai Mujhe (Anqarib) Bulaawa Aayega Aur Mein Use Qubool Kar Lunga, Aur Mujh Se (Meri Zimmedariyo’n Ke Mut’alliq) Puchha Jaayega Aur Tum Se Bhi (Mere Mut’alliq) Puchha Jaayega, (Is Baabat) Tum Kya Kahte Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Aap Ne Hamein Intihaayi Jidd-o-Jahad Ke Saath Deen Pahunchaaya Aur Bhalaayi Kee Baatein Irshad Farmayi, Allah Ta’ala Aap Ko Jaza-e-Khair Ata Farmaye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Kee Gawaahi Nahin Dete Ki Allah Ki Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Muhammad Allah Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hai, Jannat Wa Dozakh Haque Hain Aur Mout Aur Mout Ke Baa’d Kee Zindagi Haque Hai, Aur Qiyaamat Ke Aane Me Ko’i Shak Nahin, Aur Allah Ta’ala Ahle Quboor Ko Do-Baara Uthaayega? Sab Ne Jawaab Diya : Kyoo’n Nahin!
Hum Un Sab Kee Gawaahi Dete Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah! Too Gawaah Ban Jaa, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Logo’n! Be Shak Allah Mera Mawla Hai Aur Mein Tamaam Mominin Ka Mawla Hoo’n Aur Mein Un Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n. Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Yeh Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai. Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh. “Aye Logo’n! “Mein Tum Se Pehle Jaane Waala Hoo’n Aur Tum Mujhe Hawz Par Miloge, Yeh Hawz Basra Aur San’a’ Ke Darmiyani Faasle Se Bhi Ziyadah Chawda Hai. Is Me Sitaaron Kee Baraabar Chaandi Ke Pyaale Hain, Jab Tum Mere Paas Aawoge Mein Tum Se Do² Intihaayi Aham Chizo’n Ke Mut’alliq Puchhunga, Dekhne Kee Baat Yeh Hai Ki Tum Mere Pichhe Un Dono’n Se Kya Sulook Karte Ho! Pehli Aham Chiz Allah Kee Kitab Hai, Jo Ek Haithiyyat Se Allah Se Ta’alluq Rakhti Hai. Tum Use Mazbooti Se Thaam Lo To Na Gumraah Hoge Na (Haque) Se Munharif, Aur (Doosri Aham Chiz) Meri Itrat Ya’ni Ahle Bayt Hain (Un Ka Daamaam Thaam Lena). Mujhe Latif-o-Khabir Zaat Ne Khabar Dee Hai Ki Be Shak Yeh Dono’n Haque Se Nahin Hatenge Yaha’n Tak Ki Mujhe Hawz Par Milengi.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/180, 181, Raqam-3052,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/67, Raqam-2683,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/166, 167, Raqam-4971,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/164, 165,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 01/188, 189, Raqam-957, 958,

6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/166, 167,

7-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/169)” Me Hazrat Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Riwayat Lee Hai.

8-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/463.]