Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 20

Hadith Number : 20

“Hazrat Jarir Se Riwayat Hai Ki Hum Hijjat-ul-Wada’ Ke Mauqa Par Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath They, Hum Ek Aisi Jagah Pahunche Jise Ghadir Khum Kahte Hain. Namaz Ba-Jama’at Hone Kee Nida Aayi To Saare Muhaajirin Wa Ansaar Jam’a Ho Ga’e. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hamaare Darmiyan Khade Hu’e Aur Khitaab Farmaya : Aye Logo’n! Tum Kis Chiz Kee Gawaahi Dete Ho? Unhone Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Allah Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Phir Kis Kee? Unhone Kaha : Be Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhara Wali Koun Hai? Unhone Kaha : Allah Aur Us Ka Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam.
Phir Farmaya : Tumhara Wali Aur Koun Hain? Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Baazoo Se Pakad Kar Khada Kiya Aur (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke) Dono’n Baazoo Thaam Kar Farmaya : “Allah Aur Us Ka Rasool Jis Ke Mawla Hain Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh (Aur) Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Aye Allah! Jo Ise Mahboob Rakkhe Too Use Mahboob Rakkh Aur Jo Is Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/357, Raqam-2505,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,

3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/138, 139, Raqam-36437,

4-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/179.]