Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 22

Hadith Number : 22

“Aayate Kareema ( اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ ) [Al-Ma’idah, 05 : 03] ….Aaj Mein Ne Tumhare Li’e Deen Ko Mukammal Kar Diya…. Ke Shaane Nuzool Me Muhaddithin Wa Mufassirin Ne Yeh Hadithe Mubaraka Bayan Kee Hai :

“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Ne Atthaarah-18 Dhu-‘l-Hijjah Ko Rozah Rakkha Us Ke Li’e Saath-60 Mahino’n Ke Rozo’n Ka Thawaab Likkha Jaayega, Aur Yeh Ghadir Khum Ka Din Tha Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : Kya Mein Mominin Ka Waali Nahin Hoo’n? Unhone Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Is Par Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mubarak Ho! Aye Ibn Abi Talib! Aap Mere Aur Har Musalman Ke Mawla Thahre. (Is Mauqa’ Par) Allah Ta’ala Ne Yeh Aayat Naazil Farmayi : “Aaj Mein Ne Tumhare Li’e Tumhara Deen Muqammal Kar Diya.”

[1-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 08/290,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/324,

3-Wahidi Fi Asbab-un-Nuzool,/108,

4-Razi Fi At-Tafsir-ul-Kabir Aw Mafatih-ul-Ghayb, 11/139,

5-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/176, 177,

6-Ibn ‘Asakir Ne “ Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/179)” Me Yeh Riwayat Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Lee Hai.

7-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464,

8-Suyooti Ne “Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor (02/259)” Me Aayat Mazkura Kee Shaane Nuzool Ke Hawaale Se Likha Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Roz “من كنت مولاه فعلى مولاه” Ke Alfaz Farmaye To Yeh Aayate Kareema Naazil Hu’i.]