وَقَدْ عَقَدَ الإِمَامُ التِّرْمِذِيُّ فَي سُنَنِہٖ بَابًا عُنْوَانُه : مَا جَاءَ فِي مِيلاَد النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم.
Imam Tirmidhi Ne Apni “As-Sunan” Me “Kitab Al-Manaqib” Ka (Dusra) Baab Hee “Ma Ja’a Fi Milad-in-Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Unwaan Se Qaa’im Kiya Hai.(01)
Lafze Milaad Kee Asl (Origin) Ke Baare Me Baa’z Naaqideen Kee Taraf Se Sawaal Uthaaya Jaata Hai Ki Aalame Arab Me Is Kee Jagah Mawlood Ka Lafz Iste’maal Hota Hai Aur Milad Aisa Lafz Hai Jo Barre Saghir Paak-o Hind Me Musta’mal Hai. Yeh Ek Ghalat Tasawwur Hai. Dar Asl Urdu Ek Lashkari Zabaan Hai Jis Ke Dhakhira-e Alfaz Me Arabi, Farsi Aur Deegar Zabaano’n Ke Be Shumaar Alfaaz Shaamil Hain. Urdu Me Walad, Waalid, Maulood, Meelaad, Mawlid Aur Mutawallid Tamam Arabi-ul-Asl Alfaaz Hain. Milaad Arabi Lafz Hai Jise Imam Muhammad Bin Sa’d (168_230 Hijri), Imam Tirmidhi (210_279 Hijri), Imam Ibn Jarir Tabari (224_310 Hijri), Hafiz Ibn Kathir (701_774 Hijri), Imam Suyooti (849_911 Hijri) Aur Hafiz Asqalani (773_852 Hijri) Samet Muta’addad Mufassirin, Muhaddithin, Mu’arrikhin Aur As’habe Siyar Ne Iste’maal Kiya Hai.
A’imma-e Lughat Ne Bhi Lafz Milad Apni Qutub Me Iste’maal Kiya Hai(☆) :
Ibn Manzoor Afriqi (630_711 Hijri) Aur Abd-ul-Qadir Razi Hanafi (660 Hijri Ke Baa’d Faut Hu’e), Murtada Zabidi (1145_1205 Hijri) Aur Allama Jawhari Farmate Hain :
وَمِيْلَادُ ارَّجُلِ : اِسْمُ الْوَقْتِ الَّذِي وُلِدَفِيْهَ.
“Aur Insaan Ka Milad Us Waqt Ka Naam Hai Jis Me Us Kee Paida’ish Hoti Hai.”
Lughat Kee Ma’roof Kutub “Al-Mu’jam Al-Wasit” Aur Taj Al-‘Aroos Min Jawahir Al-Qamoos” Me Hai :
اَلْمِيْلَادُ : وَقْتُ الْوِلَادِةِ.
“Milad Se Muraad Waqte Wilaadat Hai.”
–
[(01) Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/589, Raqm-3619,
(☆) 1. Ibn Manzoor, Lisan Al-‘Arab, 03 : 468,
- Razi, Mukhtar Al-Sihah, : 422,
- Zabidi, Taj Al-‘Aroos Min Jawahir Al-Qamoos, 05 : 327,
- Ibrahim Mustaf, Al-Mu’jam Al-Wasit, 02 : 1056,
- Jawhari, Al-Sihah Fi Al-Lughat Wa-Al-‘Uloom, 02 : 713,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/87_90.]