Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-02 : ﴾Khawaarij Wa Murtaddin Aur Gustakhane Mustafa Ka Bayan﴿

Khawaarij Wa Murtaddin Aur Gustakhane Mustafa Ka Bayan

Khawaarij Wa Murtaddin Aur Gustakhane Mustafa Ka Bayan

01/69.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Yaman Se Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Chamde Ke Thaile Me Bhar Kar Kuchh Sona Bheja, Jis Se Abhi Tak Mitti Bhi Saaf Nahin Kee Ga’i Thi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Woh Sona Chaar Aadmiyo’n Uyaynah Bin Badr, Aqra’a Bin Haabis Aur Zayd Bin Khayl Aur Chauthe Alaqmah Ya Aamir Bin Tufayl Ke Darmiyan Taqseem Farma Diya.  Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke As’hab Me Se Kisee Ne Kaha : Un Logo’n Se To Hum Ziyaada Haqq Daar They.  Jab Yeh Baat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tak Pahonchi To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Mujhe Amanatdar Shumaar Nahin Karte?  Haalaanki Aasmaan Waalo’n Ke Nazdeek To Mein Aameen Hoo’n.  Is Kee Khabarein To Mere Paas Sub’h Wa Shaam Aatee Rehti Hain.  Raawi Ka Bayan Hai Ki Phir Ek Aadami Khada Ho Gaya Jis Kee Aankhein Andar Ko Dhansee Hu’i, Rukhsaaro’n Kee Haddiyan Ubhari Hu’i, Oonchee Peshaani, Ghani Daadhi, Sar Munda Hua Tha Aur Woh Ooncha Tehband Baandhe Hu’e Tha, Woh Kehne Laga : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Khuda Se Dare, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Halaak Ho, Kya Mein Tamam Ahle Zameen Se Ziyaada Khuda Se Darne Ka Mustahiq Nahin Hoo’n? Phir Jab Woh Aadami Jaane Ke Liye Muda To Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya, Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Mein Us Kee Gardan Na Uda Doo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aisa Na Karo, Shayad Yeh Namazi Ho,  Hazrat Khalid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Bohat Se Aise Namazi Bhi To Hain Ki Jo Kuchh Un Kee Zubaan Par Hai Woh Dil Me Nahin Hota. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Yeh Hukm Nahin Diya Gaya Ki Logo’n Ke Dilo’n Me Naqab (Sendh) Lagaoo’n Aur Un Ke Pait Chaak Karoo’n.  Raawi Ka Bayan Hai Ki Woh Palta To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Phir Us Kee Jaanib Dekha To Farmaya : Us Kee Pusht Se Aise Log Paida Honge Jo Allah Ta’ala Kee Kitab Kee Tilawat Se Zubaan Tar Rakheinge, Lekin Qur’an Un Ke Halak Se Neeche Nahin Utarega.  Deen Se Is Tarah Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai. Mera Khyaal Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya Ki Agar Mein Un Logo’n Ko Paoo’n To Qaume Samood Kee Tarah Unhe’n Qatl Kar Doo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1581, Raqm-4094,

Muslim Fi As-Sahih, 02/742, Raqm-1064,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/04,Raqm-11021,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/71,Raqm-2373,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/205, Raqm-25,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/390, Raqm-1163,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 03/128, Raqm-2375,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/71,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,08/68, Raqm-4094,

Hashiyah Ibn Al-Qayyim, 13/16,

Suyooti Fi Al-Dibaj ‘Ala Sahih Muslim Ibn Al-Hajjaj, 03/160, Raqm-1064,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/188,192,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-143, 144, 145, Raqm-69.]

02/70 .      “Aur Muslim Kee Ek Riwayat Me Izaafa Hai Ki Hazrat ‘Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Khade Hu’e Aur ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Kya Mein Us (Munafiq) Kee Gardan Uda Doo’n?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin. Phir Woh Shakhs Chala Gaya, Phir Hazrat Khalid Saifullah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Khade Ho Kar ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Us (Munafiq) Kee Gardan Uda Doo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin Us Kee Nasl Se Aise Log Paida Honge Jo Qur’an Bohat Hee Achchha Padhenge (Raawi) Ammarah Kehte Hain Ki Mera Khayaal Hai Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Bhi Farmaya : Agar Mein Un Logo’n Ko Paa Leta To (Qaume) Samood Kee Tarah Zaroor Unhe’n Qatl Kar Deta.”

[Muslim Fi As-Sahih, 02 /743, Raqm-1064,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-145, Raqm-70.]

03/71.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Ek Roz Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maale (Ghaneemat) Taqseem Kar Rahe They To Zulkhuwaysara Naami Shakhs Ne Jo Ki Bani Tameem Se Tha Kaha : Ya RasoolAllah ﷺ!  Insaaf Keeji’e. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Halaak Ho, Agar Mein Insaaf Na Karoo’n To Awr Kaun Kaun Insaaf Karega? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Mujhe Ijaazat De Ki Us Kee Gardan Uda Doo’n?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin Kyun Ki Us Ke (Aise) Saathi Bhi Hain Ki Tum Un Kee Namazo’n Ke Muqaabale Me Apni Namazo’n Ko Haqeer Paaoge Aur Un Ke Rozo’n Ke Muqaabale Me Apne Rozo’n Ko Haqeer Jaanoge. Woh Deen Se Is  Tarah Nikle Hu’e Honge Jaise Shikaar Se Teer Nikal Jaata Hai, Phir Us Ke Paikaan (Teer Kee Nok) Par Kuchh Nazar Nahin Aata, Us Ke Pat’they Par Bhi Kuchh Nazar Nahin Aata, Us Kee Lakdi Par Bhi Kuchh Nazar Nahin Aata Aur Na Us Ke Paro’n Par Kuchh Nazar Aata Hai, Woh Gobar Aur Khoon Ko Bhi Chhor Kar Nikal Jaata Hai. Woh Logo’n Me Firqa Bandee Ke Waqt (Use Hawa Dene Ke Liye) Niklenge. Un Kee Nishaani Yeh Hai Ki Un Me Ek Aadami Ka Haath Aurat Ke Pistaan Ya Gost Ke Lothade Kee Tarah Hilta Hoga. Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Ne Yeh Hadithe Paak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suni Hai Aur Mein (Yeh Bhi) Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Tha Jab Un (Khaarjee) Logo’n Se Jung Kee Ga’i, Us Shakhs Ko Muqtuleen Me Talaash Kiya Gaya To Us Wasf (Nishaani) Ka Ek Aadami Mil Gaya Jo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Bayan Farmaya Tha.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2271, Raqm-5811,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6534,

Muslim Fi As-Sahih, 02/744, Raqm-1064,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/159, Raqm-8560, 8561,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/355, Raqm-11220,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/25, Raqm-11639,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/140, Raqm-6741,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/146,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-145, 146, 147, Raqm-71.]

04/72.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Yaman Se Mitti Me Mila Hua Thoda Sa Sona Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Bheja To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Aqra’a Bin Haabis Jo Bani Mujaashea Ka Ek Fard Tha Aur Uyaina Bin Badar Fazaari,  Alaqma Bin Ulaasa Aamir, Jo Bani Kilaab Se Tha Aur Zaid-Al-Khail Taa’i Jo Bani Nabhaan Se Tha Un Chaaro’n Ke Darmiyan Taqseem Farma Diya.  Is Par Quraish Aur Ansar Ko Narazgi Hu’i Aur Unhone Kaha Ki Ahle Najd Ke Sardaaro’n Ko Maal Dete Hain Aur Hame’n Nazar Andaz Karte Hain.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein To Un Kee Taalife Qalb Ke Liye Karta Hoo’n.  Usee Asna Me Ek Shakhs Aaya Jis Kee Aankhein Andar Ko Dhansee Hu’i,  Peshaani Ubhari Hu’i, Daadhi Ghani, Gaal Foole Hu’e Aur Sar Munda Hua Tha Aur Us Ne Kaha : Aye Muhammad ﷺ!  Allah Se Daro, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Kee Ita’at Karne Waala Kaun Hai?  Agar Mein Us Kee Nafarmani Karta Hoo’n Haala’n Ki Us Ne Mujhe Zameen Waalo’n Par Ameen Banaaya Hai Aur Tum Mujhe Ameen Nahin Maante. To Sahaba Me Se Ek Shakhs Ne Use Qatl Kar Ne Kee Ijaazat Maangi Mere Khayaal Me Woh Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu They To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Mana Farma Diya [Aur Aboo Nu’aym Kee Riwayat Me Hai Ki “Us Shakhs Ne Kaha : Aye Muhammad ﷺ Allah Se Daro Aur Adal Karo, To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aasmaan Waalo’n Ke Nazdeek,  Mein Amanatdar Hoo’n Aur Tum Mujhe Ameen Nahin Samajhte? To Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Mein Us Kee Gardan Na Kaat Doo’n?  Farmaya : Haa’n, To Woh Ga’e To Use Namaz Padhte Hu’e Paaya, To (Waapas Laut Aa’e Aur) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : Mein Ne Use Namaz Padhte Paaya (Is Liye Qatl Nahin Kiya) To Kisi Doosre Sahabi Ne ‘Arz Kiya : Mein Us Kee Gardan Kaat Doo’n?] Jab Woh Chala Gaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Shakhs Kee Nasl Se Aisi Qaum Paida Hogi Ki Woh Log Qur’an Padhege Lekin Un Ke Halaq Se Neeche Nahin Utarega, Woh Islam Se Is Tarah Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai. Woh Butparasto’n Ko Chhor Kar Musalmano Ko Qatl Karenge Agar Mein Unhe’n Paoo’n To Qaume Aad Kee Tarah Unhe’n Qatl Kar Doo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2702, Raqm-6995,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1219, Raqm-3166,

Muslim Fi As-Sahih, 02/741, Raqm-1064,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4764,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/118, Raqm-4101,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/87, Raqm-2578,

Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 06/356, Raqm-11221,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/68,73, Raqm-11666, 11713,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/156,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 03/127, Raqm-2373,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-147, 148, 149, Raqm-72.]

05/73.       “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Anqareeb Aakhiree Zamaane Me Aise Log Zaahir Honge Ya Niklege Jo Nau’umr Aur Aql Se Kore Honge Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahadith Bayan Karenge Lekin Iman Un Ke Apne Halaq Se Nahin Utarega.  Deen Se Woh Yoo’n Khaarij Honge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai Pas Tum Inhe’n Jaha’n Kahi’n Paaw To Qatl Kar Dena Kyun Ki Un Ko Qatl Kar Ne Waalo’n Ko Qiyaamat Ke Din Sawaab Mile Ga.”

Muttafaque ‘Alayh

“Imam Aboo Isa Tirmidhi Ne Apni Sunan Me Is Hadith Ko Bayan Kar Ne Ke Baa’d Farmaya : Yeh Riwayat Hazrat ‘Ali, Hazrat Aboo Sa’iyd Aur Hazrat Aboo Dhar Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Se Bhi Marwi Hai Aur Yeh Hadith Hasan Sahih Hai. Is Hadith Ke Ilaawah Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Gaya Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Ki Ek Aisee Qaum Zaahir Hogee Jis Me Yeh Ausaaf Honge Jo Qur’an Majeed Ko Tilawat Karte Honge Lekin Woh In Ke Halaqo’n Se Nahin Utarega Woh Log Deen Se Is Tarah Khaarij Honge Jis Tarah Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai Woh Khawaarij Harooriya Honge Aur Is Ke Ilaawah Khawaarij Me Se (Deegar Firqo’n Par Mushtamil Log Honge.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2539, Raqm-6531,

Muslim Fi As-Sahih, 02/746, Raqm-1066,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/481, Raqm-2188,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4102,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/59, Raqm-168,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/81, 113, 131, Raqm-616, 912, 1086,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/553, Raqm-37883,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/157,

Bazzar Fi Al-Musnad, 02/188, Raqm-568,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/273, Raqm-324,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/170,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/213, Raqm-1049,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/443, Raqm-914,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/24, Raqm-168,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-149, 150, Raqm-73.]

06/74 .      “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Maale Ghaneemat Taqseem Kar Rahe They Ki ‘Abd Allah Bin Zulkhuwaysara Tameemi Aaya Aur Kehne Laga : Ya RasoolAllah ﷺ! Insaaf Se Taqseem Keeji’e (Is Ke Is Ta’an Par) Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kambakht Agar Mein Insaaf Nahin Karta To Kaun Karta Hai?  Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Ijaazat ‘Ata Farmaa’e Mein Is (Khabees Munafiq) Kee Gardan Uda Doo’n?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rehne Do Is Ke Kuchh Saathi Aise Hain (Ya Honge) Ki Un Kee Namazo’n Aur Un Ke Rozo’n Ke Muqaabale Me Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Haqeer Jaanoge Lekin Woh Log Deen Se Is Tarah Nikle Hu’e Honge Jaise Teer Nishaane Se Paar Nikal Jaata Hai.  (Teer Phaikne Ke Baa’d) Teer Ke Par Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Asar Na Hoga. Teer Kee Baad Ko Dekha Jaa’ega To Us Me Bhi Khoon Ka Ko’i Nisshaan Na Hoga Aur Teer (Jaanwar Ke) Gobar Aur Khoon Se Paar Nikal Chuka Hoga. (Aisee Hee In Khabeeso’n Kee Misaal Hai Ki Deen Ke Saath Un Ka Sire Se Ko’i Ta’alluq Na Hoga.)”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6534, 6532,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1321, Raqm-3414,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2281, Raqm-5811,

Muslim Fi As-Sahih, 02/744, Raqm-1064,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/355, Raqm-11220,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/61, Raqm-172,

Ibn Al-Jarud Al-Muntaqa, 01/272, Raqm-1083,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/140,  Raqm-6741,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,

وقال : هذا حديث صحيح،

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/56, Raqm-11554, 14861,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/562, Raqm-37932,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/146, Bazzar Al-Musnad 09/305, Raqm-3846,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/35, Raqm-9060,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/298, Raqm-1022,

Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/270, Raqm-774,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-150, 151, 152, Raqm-74.]

07/75.       “Hazrat Jaabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Farmate Hain Ki Meri Aankho’n Ne Dekha Aur Kaano’n Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna, Jiaraana Ke Muqam Par Hazrat Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Kapdo’n (Gowd) Me Chaandi Thi Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Me Se Mut’thiyan Bhar-Bhar Ke Logo’n Ko ‘Ata Farma Rahe Hain To Ek Shakhs Ne Shakhs Ne Kaha :  Adal Kare. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Halaak Ho. Agar Mein Bhi Adal Nahin Karunga To Kaun Adal Karega?  Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah ﷺ! Mujhe Ijaazat ‘Ata Farmaa’e Ki Mein Is Khabees Munafiq Ko Qatl Kar Doo’n? To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Logo’n Ke Is Qaul Se Ki Mein Apne Saathiyo’n Ko Qatl Kar Ne Lag Gaya Hoo’n Allah Kee Panaah Chaahta Hoo’n.  Be Shak Yeh Aur Is Ke Saathi (Nihayat Sheerri Andaz Me) Qur’an Padhege Woh Un Ke Halaq Se Nahin Utarega, Woh Deen Ke Daayre Se Aise Khaarij Ho Jaaenge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/354, Raqm-1461,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 03/127, Raqm-2372,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-152, Raqm-75.]

08/76.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mashriq Kee Jaanib Se Kuchh Log Niklege Ki Woh Qur’ane Paak Padhege Magar Un Ke Galo’n Se Neeche Nahin Utarega.  Woh Deen Se Is Tarah Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai Aur Phir Woh Deen Me Waapas Nahin Aaeinge Jab Tak Teer Apni Jagah Par Waapas Na Laut Aa’e.  Daryaaft Kiya Gaya Ki Un Kee Nishaani Kya Hai?  Farmaya : Un Kee Nishaani Sar Mundaana Hai Ya Farmaya : Sar Mundaaye Rakhna.

رواه البخاري.

Aur Muslim Kee Riwayat Me Hai : Yusair Bin ‘Amr Kehte Hain Ki Mein Ne Hazrat Sahal Bin Hunaif RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha : Kya Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Khawaarij Ka Zikr Suna Hai?  Unhone Farmaya : Haa’n!  Mein Ne Suna Hai Aur Apne Haath Se Mashriq Kee Taraf Ishaara Kar Ke Kaha : Woh (Waha’n Se Niklege Aur) Apni Zubano’n Se Qur’an Majeed Padhege Magar Woh Un Ke Halaq Se Nahin Utarega Aur Deen Se Aise Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Paar Nikal Jaata Hai.”

رواه مسلم

[Bukhari Fi As-Sahih,  06/2748, Raqm-7123,

Muslim Fi As-Sahih, 02/750, Raqm-1068,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/64, Raqm-11632,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/486,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/563, Raqm-37397,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/408, Raqm-1193,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/91, Raqm-5609,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/490, Raqm-909,

وقال : إسناده صحيح،

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 03/135, Raqm-239,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-153, 154, Raqm-76.]

09/77.       “Zayd Bin Wahab Juhni Bayan Karte Hain Ki Woh Us Lashkar Me They Jo Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Khawaarij Se Jung Ke Liye Gaya Tha. Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Aye Logo’n!  Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Me Ek Aisee Qaum Zaahir Hogee Woh Aisa (Khoobsoorat) Qur’an Padhege Ki Un Ke Padhne Ke Saamne Tumhaare Qur’an Padhne Kee Ko’i Haisiyat Na Hogi,  Na Un Kee Namazo’n Ke Saamne Tumhari Namazo’n Kee Kuchh Haisiyat Hogee Aur Na Hee Un Ke Rozo’n Ke Saamne Tumhaare Rozo’n Kee Ko’i Haisiyat Hogee.  Woh Yeh Samajh Kar Qur’an Padhege Ki Woh Un Ke Liye Mufeed Hai Lekin Dar Haqeeqat Woh Un Ke Liye Nuqsandeh Hoga.  Namaz Un Ke Gale Se Neeche Na Utar Sakegee Aur Woh Islam Se Aise Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai.”

رواه مسلم وأبو داود.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/748, Raqm-1066,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/244, Raqm-4768,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/163, Raqm-8571,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/91, Raqm-706,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/147,

Bazzar Al-Musnad 06/197, Raqm-581,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/445, 446,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/170,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-154, 155, Raqm-77.]

10/78.       “Hazrat Aboo Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Qaum Ka Zikr Kiya Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Me Paida Hogi, Us Ka Zahoor Us Waqt Hoga Jab Logo’n Mein Firqa Bandee Ho Jayengi. Un Kee Alaamat Sar Mundaana Hogi Aur Woh Makhlooq Me Sab Se Bad’tar (Ya’ni Bad’tareen) Honge Aur Unhe’n Do Jam’a’ato’n Me Se Woh Jam’a’at Qatl Karegi Jo Haqq Se Ziyaada Qareeb Hogi, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Logo’n Kee Ek Misaal Bayan Farmaa’i Ki Jab Aadami Kisee Shikaar Ya Nishaane Ko Teer Maarta Hai To Par Ko Dekhta Hai Us Me Kuchh Asar Nahin Hota Aur Teer Kee Lakdi Ko Dekhta Hai Aur Waha’n Bhi Asar Nahin Hota, Phir Us Hisse Ko Dekhta Hai Jo Teer Andaz Kee Chutki Me Hota Hai To Waha’n Bhi Kuchh Asar Nahin Paata.”

رواه مسلم و أحمد.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/745, Raqm-1065,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/05, Raqm-11031,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/622, Raqm-1482,

وقال : إسناده صحيح،

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-155, Raqm- 78.]

11/79.       “Hazrat Aboo Salamah Aur Hazrat ‘‘Ata’ Bin Yasaar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir Hu’e Aur ‘Arz Kiya : Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Harooriya Ke Baare Me Kuchh Suna Hai? To Unhone Farmaya Ki Mujhe Nahin Ma’loom Ki Harooriya Kya Hai? Haa’n Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Ki Is Ummat Me Se Kuchh Aise Log Niklege Aur Yeh Nahin Farmaya Ki Ek Aisee Qaum Niklegi (Balki Log Farmaya) Jin Kee Namazo’n Ke Muqaabale Me Tum Apni Namazo’n Ko Haqeer Jaanoge, Woh Qur’ane Majeed Kee Tilawat Karenge Lekin Yeh (Qur’an) Un Ke Halaq Se Nahin Utarega Ya Yeh Farmaya Ki Un Ke Narkhre Se Neeche Nahin Utarega Aur Woh Deen Se Yoo’n Khaarij Ho Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2540, Raqm-6532,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1928, Raqm-4771,

Muslim Fi As-Sahih, 02/743, Raqm-1064,

Malik Fi Al-Muwatta’, 01/204, Raqm-478,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/31, Raqm-8089,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/60, Raqm-11596,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/132,

Raqm-6737,

Bukhari Khalq Af’al Al-Ibad, 01/53,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/560, Raqm-37920,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/430, Raqm-1233,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-155, 156, Raqm-79.]

12/80.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri Aur Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Meri Ummat Me Ikhtilaf Aur Tafarika Baazi Hogi,  Ek Qaum Aisee Hogi Ki Woh Log Guftaar Ke Achchhe Aur Kirdaar Ke Bure Honge, Qur’an Paak Padhege Jo Un Ke Gale Nahin Utarega (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Un Kee Namazo’n Aur Rozo’n Ke Muqaabale Me Haqeer Samjhoge) Woh Deen Se Aise Khaarij Ho Jaaenge Jaise Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai Aur Waapas Nahin Aaeinge Jab Tak Teer Kamaan Me Waapas Nahin Aa Jaa’e Woh Saari Makhlooq Me Sab Se Bure Honge, Khushkhabri Ho Use Jo Unhe’n Qatl Kare Aur Jise Woh Qatl Kare. Woh Allah ‘Azza Wa Jalla Kee Kitab Kee Taraf Bulaaenge Lekin Us Ke Saath Un Ka Ko’i Ta’alluq Nahin Hoga Un Ka Qatl Un Kee Nisbat Allah Ta’ala Se Ziyaada Qareeb Hoga. Sahaba Karam Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah! Un Kee Nishaani Kya Hai? Farmaya : Sir Mundaana.”

“Ek Aur Riwayat Me Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Isee Tarah Farmaya : Un Kee Nishaani Sar Mundaana Aur Aksar Mundaaye Rakhna Hai.”

رواه أبو داود وابن ماجه مختصرا وأحمد والحاكم.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4765,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm-169,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/224, Raqm-13362,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/161, Raqm-2649,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/171,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,07/15, Raqm-2391, 2392,

وقال : إسناده صحيح،

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/426, Raqm-3117,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/121, Raqm-7553,

Maruzi As-Sunnah, 01/20, Raqm-52,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-156, 157, 158, Raqm-80.]

13/81 .      “Hazrat Shareek Bin Shihaab Ne Bayan Kiya Ki Mujhe Is Baat Kee Shadeed Khwahish Thi Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kisi Sahabi Se Miloo’n Aur Un Se Khawaarij Ke Muta’alliq Daryaaft Karoo’n.  Ittefaaqan Mein Ne Eid Ke Roj Hazrat Aboo Barza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Un Ke Kai Dosto’n Ke Saath Dekha Mein Ne Un Se Daryaaft Kiya : Kya Aap Ne Khaarjiyo’n Ke Baare Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Kuchh Suna Hai? Aap Ne Farmaya : Haa’n, Mein Ne Apne Kaano’n Se Suna Aur Aankho’n Se Dekha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Kuchh Maal Pesh Kiya Gaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Maal Ko Un Logo’n Me Taqseem Farma Diya Jo Daayin Aur Baayin Taraf Baithey They Aur Jo Log Peechhe Baithey They Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhe’n Kuchh Inayat Na Farmaya, Chunannche Un Me Se Ek Shakhs Khada Hua Aur Us Ne Kaha Aye Muhammad ﷺ! Aap Ne Insaaf Se Taqseem Nahin Kee. Woh Shakhs Siyaah Rang, Sar Munda Aur Safed Kapde Pehne Hu’e Tha. [Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Izaafa Kiya Ki Us Kee Dono’n Aankho’n Ke Darmiyan (Peshaani Par) Sajdo’n Ka Asar Numaaya Tha].  Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Shadeed Naraz Hu’e Aur Farmaya : Khuda Kee Qasam!  Tum Mere Baa’d Mujh Se Badh Kar Kisi Shakhs Ko Insaaf Karne Waala Na Paaoge,  Phir Farmaya : Aakhiree Zamaane Me Kuchh Log Paida Honge Yeh Shakhs Bhi Un Hee Logo’n Me Se Hai [Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mashriq Kee Taraf Se Ek Qaum Niklegi Yeh Aadami Bhi Un Logo’n Me Se Hai Aur Un Ka Taur Tareeqa Bhi Yahin Hoga] Woh Qur’an Majeed Kee Tilawat Karenge Magar Qur’an Un Ke Halaq Se Neeche Na Utarega Woh Islam Se Is Tarah Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai.  Un Kee Nishaani Yeh Hai Woh Sar Munde Honge Hamesha Nikalte Hee Raheinge Yaha’n Tak Ki Un Ka Aakhiree Giroh Dajjal Ke Saath Niklega Jab Tum Un Se Milo’n To Unhe’n Qatl Kar Do.  Woh Tamam Makhlooq Se Bad’tareen Hain.”

رواه النسائي وأحمد والبزار والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

ورجاله رجال الصحيح كما قال الهيثمي.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, Raqm-4103,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/312, Raqm-3566,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/421,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/294, 305, Raqm-3846,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/160, Raqm-2647,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/559, Raqm-37917,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/452, Raqm-927,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/124, Raqm-923,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/292,

Qaysrani Tazkirat-ul-Huffaz, 03/1101,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/188,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-158, 159, Raqm-81.]

14/82.       “Aboo Salma Kehte Hain Ki Mein Ne Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Daryaaft Kiya : Kya Aap Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Harooriya (Ya’ni Khawaarij) Ke Muta’alliq Ko’i Hadith Suni Hai? Unhone Farmaya : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Qaum Ka Zikr Farmaya Hai Jo Khoob Ibadat Karegi [Imam Ahmad Kee Ek Riwayat Me Hai Ki Woh Deen Me Intihaa’i Pukhta Nazar Aaenge]  Aur (Yaha’n Tak Ki) Tum Apni Namazo’n Aur Rozo’n Ko Un Kee Namazo’n Aur Rozo’n Ke Muqaabale Me Haqeer Samjhoge. Woh Deen Se Is Tarah Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se, Ki Aadami Apne Teer Ko Utha Kar Us Ke Phal Ko Dekhe To Us Me Ko’i Khoon Wagarah Nazar Na Aa’e Phir Woh Teer Kee Lakdi Ko Dekhe Us Me Ko’i Nisshaan Na Paaye Phir Us Kee Nok Ko Dekhe Aur Ko’i Nisshaan Nazar Na Aa’e Phir Teer Ke Par Ko Dekhe Us Me Bhi Kuchh Nazar Na Aa’e.”

رواه ابن ماجه وأحمد.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm-169,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,  30/33, Raqm-11309,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, Raqm-37909,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-159, 160, Raqm-82.]

15/83.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mimbar Par Yeh Farmate Hu’e Suna : Khabardaar Ho Jaao!  Fitna Udhar Hai Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Mashriq Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya : Yaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Zaahir Hoga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih,  03/1293, Raqm-3320,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1195, Raqm-3105,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2229, Raqm-2905,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/975, Raqm-1757,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad,   02/73, Raqm-5468,

Ibn Hibban Fi As-Sahih,  15/25, Raqm-6649,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-160, 161, Raqm-83.]

16/84.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma  Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashriq Kee Jaanib Chehra Mubarak Kar Ke Farma Rahe They : Khabardaar Ho Jaao Ki Fitna Udhar Hai Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Zaahir Hoga.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih,  06/2598, Raqm-6680,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2228, Raqm-2905,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-5659,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/122, Raqm-387,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 01/246, Raqm-43,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-161, Raqm-84.]

17/85.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Farmaa’e, Aye Allah! Hamaare Liye Hamaare Shaam Me Barkat ‘Ata Farma, Aye Allah!  Hame’n Hamaare Yaman Me Barkat ‘Ata Farma, (Kuchh) Logo’n Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamaare Najd Me Bhi?  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Phir) Du’aa Farmaei : Aye Allah! Hamaare Liye Hamaare Shaam Me Barkat ‘Ata Farma.  Aye Allah! Hamaare Liye Hamaare Yaman Me Barkat ‘Ata Farma. (Kuchh) Logo’n Ne (Phir) ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamaare Najd Me Bhi. Mera Khyaal Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teesri Martaba Farmaya : Waha’n Zalzale Aur Fitne Honge Aur Shaitaan Ka Seeng (Fitna-e Vahabiyyat Wa Najdiyyat) Wahin Se Niklega.”

رواه البخاري والترمذي وأحمد.

وقال أبو عيسى : حديث حسن صحيح.

[Bukhari Fi As-Sahih,  06/2598, Raqm-6681,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/351, Raqm-990,

Tirmidhi Fi As-Sunan,  05/733, Raqm-3953,

Ahmad Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/118, Raqm-5987,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/290, Raqm-7301,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/384, Raqm-13422,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 01/251, Raqm-46,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/29, Raqm-4666,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-161, 162, Raqm-85.]

18/86.       “Imam Bukhari Ne Apni Sahih Me Baab Ke Unwaan (Tarjumat-ul-Baab) Ke Taur Par Yeh Hadith Riwayat Kee Hai : Allah Ta’ala Ka Farman : ‘Aur Allah Kee Shaan Nahin Ki Woh Kisi Qaum Ko Gumraah Kar De.  Is Ke Baa’d Ki Us Ne Unhe’n Hidayat Se Nawaz Diya Ho,  Yaha’n Tak Ki Woh Un Ke Liye Woh Cheeze’n Waazeh Farma De’n Jin Se Unhe’n Parhez Karna Chaahiye.’ Aur ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Un (Khawaarij) Ko Allah Ta’ala Kee Bad’tareen Makhlooq Samajhte They.  (Kyun Ki) Unhone Allah Ta’ala Kee Un Aayaat Ko Liya Jo Kuffaar Ke Haqq Me Naazil Hu’i Thi Aur Un Ka Itlaaq Momineen Par Karna Shuroo Kar Diya.”

Aur Imam Asqalani ‘Fat’h-ul-Bari’ Me Bayan Karte Hain Ki Imam Tabari Ne Us Hadith Ko Tahzib-ul-Aasaar Se Bakeer Bin ‘Abd Allah Bin Ashaj Ke Tareeq Se Masnade Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Shaamil Kiya Hai Ki Unhone Naafe’a Se Poochha Ki ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Harooriya (Khawaarij) Ke Baare Me Kiya Raay Thi?  To Unhone Farmaya : Woh Unhe’n Allah Ta’ala Kee Bad’tareen Makhlooq Khayaal Kiya Karte They Jinhone Allah Ta’ala Kee Un Aayaat Ko Liya Jo Kuffaar Ke Haqq Me Naazil Hu’i Thi Aur Un Ka Itlaaq Momineen Par Kiya.

Mein ‘Imam Asqalani’ Kehta Hoo’n Ki Is Hadith Kee Sanad Sahih Hai Aur Tehqeeq Yeh Sanade Hadith Sahih Marfooa Me Imam Muslim Ke Haa’n Aboo Dhar Gifaari Kee Khawaarij Ke Wasf Waali Hadith Me Saabit Hai Aur Woh Hadith Yeh Hai Ki “Woh Khalq Aur Khulq Me Bad’tareen Log Hain” Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ke Haa’n Bhi Usi Kee Misl Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Marfooa Hadith Hai.

“Aur Imam Bazzar Ke Yaha’n Sha’abi Ke Tareeq Se Woh Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Khawaarij Ka Zikr Kiya Aur Farmaya : ‘Woh Meri Ummat Ke Bad’tareen Log Hain Aur Unhe’n Meri Ummat Ke Behtareen Log Qatl Karenge.’

Aur Is Hadith Kee Sanad Hasan Hai.”

Aur Imam Tabarani Ke Haa’n Usi Tareeq Se Marfooa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hadith Me Marwi Hai Ki “Woh (Khawaarij) Bad’tareen Khalq Aur Khulq Waale Hain Aur Un Ko Behtareen Khalq Aur Khulq Waale Log Qatl Karenge.”

Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ke  Haa’n Hazrat Aboo Sa’iyd Waali Hadith Me Hai Ki “Woh (Khawaarij) Makhlooq Me Se Sab Se Bad’tareen Log Hain.”

Aur Imam Muslim Ne ‘Abd Allah Bin Abi Raafi’ Kee Riwayat Me Bayan Kiya Jo Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Kee  “Yeh (Khawaarij) Allah Ta’ala Kee Makhlooq Me Se Us Ke Nazdeek Sab Se Bad’tareen Log Hain.”

Aur Imam Tabarani Ne Haa’n ‘Abd Allah Bin Khubaab Waali Hadith Me Hai Jo Ki Woh Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki “Yeh (Khawaarij) Bad’tareen Maqtool Hain Jin Par Aasmaan Ne Saaya Kiya Aur Zameen Ne Un Ko Uthaaya.”

Aur Aboo Umaama Waali Hadith Me Bhi Yahin Alfaz Hain.

“Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Ibn Abi Shaybah Aboo Barza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Hadith Ko Marfooaa Khawaarij Ke Zikr Me Bayan Karte Hain Ki “Woh (Khawaarij) Bad’tareen Khalq Aur Khulq Waale Hain.”

Aisa Teen Baar Farmaya.

Aur Ibn Abi Shaybah Ke Haa’n Umar Bin Is’haq Ke Tareeq Se Woh Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki “Woh (Khawaarij) Bad’tareen Makhlooq Hai.”

Aur Yeh Woh Cheez Hai Jo Us Shakhs Ke Qaul Kee Taa’id Karti Hai Jo Un Ko Kafir Qaraar Deta Hai.”

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2539,

Muslim Fi As-Sahih, 02/750, Raqm-1067,

Muslim Fi As-Sahih, 02/749, Raqm-1066,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/243, Raqm-4765,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/119, 120, Raqm-4103,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/60, Raqm – 170,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/15, 224, Raqm-11133, 13362,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/421, 424,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/31, 176, Raqm-21571,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/387, Raqm-6939,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, 559, Raqm-37905, 37917,

Bazzar Fi Al-Musnad, 09/294/305, Raqm-3846,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/167, Raqm-2659,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/186, Raqm-6142,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/335, Raqm-7660,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/42, Raqm-33,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/19, Raqm-4461,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/266, Raqm-8033,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/337, Raqm-2963,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/230, 239,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/286, Raqm-6532,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Taghliq At-Ta’liq, 05/259,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 23/335,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-162, 163, 164, 165, Raqm-86.]

19/87.       “Aboo Ghalib Ne Hazrat Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kiya Ki Unhone Masjide Damishq Kee Sidhiyo’n Par (Khaarjiyo’n Ke) Sar Nasab (Lage Hu’e) Ki’e Hu’e Dekhe To Farmaya (Yeh)  Jahannum Ke Kutte, Aasmaan Ke Neeche Bad’tareen Makhlooq Hain. Aur Woh Shakhs Behtareen Makhlooq Hai Jise Inhone Qatl Kiya. Phir Aap Ne Yeh Aayaat Parhi.  ‘Jis Din Kai Chehre Safed Honge Aur Kai Chehre Siyaah Honge.'[Al-Imran, 03:106] Aboo Ghalib Kehte Hain Ki Mein Ne Hazrat Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se ‘Arz Kiya : Kya Aap Ne Yeh Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Hai?  Unhone Farmaya : Agar Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ek¹, Do², Teen³, Chaar⁴, Yaha’n Tak Ki Saat Baar Tak Gina, Suna Hota To Tum Se Bayan Na Karta (Ya’ni Ek¹ Do² Baar Nahin Balki Kai Baar Suna Hai.”

رواه الترمذي وأحمد والحاكم.

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/226, Raqm-3000,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/256, Raqm-22262,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/163, Raqm-2655,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/248, Raqm-1279,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir 08/271, Raqm-8044,

Mahamili Fi Amali, 01/408, Raqm-478, 479,

 ‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/643, Raqm-1542, 1546,

وقال : إسناده صحيح،

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/189,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-165, 166, Raqm-87.]

20/88.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baabe Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Khade Hu’e They Apne Haath Se Mashriq Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya : Fitna Waha’n Se Hoga Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega.”

رواه البخاري وأحمد واللفظ له.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1130, Raqm-2937,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/18, Raqm-4679,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 01/245, Raqm-42,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-166, 167, Raqm-88.]

21/89.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baabe Hazrat Hafsa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Khade Hu’e They Apne Daste Aqdas Mashriq Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya : Fitna Waha’n Se Hoga Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh (Kalimaat) Teen³ Baar Ada Farmaa’e.”

[Muslim Fi As-Sahih, 04/2229, Raqm-2905,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-167, Raqm-89.]

22/90.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Allah!  Hamaare Liye Hamaare Shaam Me Aur Hamaare Yaman Me Barkat ‘Ata Farma Aur Aisa Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Do² Baar Farmaya, To Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ Aur Hamaare Mashriq Me (Bhi Barkat Ho)  To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Waha’n To Shaitaan Ka Seeng Niklega Aur Waha’n  Das-10 Me Se Nau-09 Hisso’n (Ke Baraabar) Buraa’i Hogi.”

رواه أحمد والطبراني.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/90, Raqm-5642,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/249, Raqm-1889,

Ruwayani Fi Al-Musnad, 02/421, Raqm-1433,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/57,

وقال : رجال أحمد رجال عبدالرحمن بن عطاء وهو ثقة.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-167, Raqm-90.]

23/91.       “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mujhe Bataaya Gaya Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hai Aur Mein Ne Khud Yeh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Nahin Suna,  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tum Me Se Aise Log Honge Jo Ibadat Karenge Aur Apni Ibadat Me Tundahee (Paabandi Se) Se Kaam Lenge Yaha’n Tak Ki Woh Logo’n Ko Bhale Lagege Aur Woh Khud Bhi Apne Aap (Aur Apni Namazo’n) Par Itaraayege Haala’n Ki Woh Deen Se Is Tarah Khaarij Honge Jis Tarah Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”

رواه أحمد ورجاله رجال الصحيح.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/183, Raqm-12909,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/229,

وقال : رواه أحمد ورجاله رجال الصحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-186, Raqm-91.]

24/92.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin Ribaah Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Kaa’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Shaheed Ke Liye Ek Noor Hoga Aur Us Shakhs Ke Liye Jo Harooriya (Khawaarij) Ke Saath Qitaal Karega Das-10 Noor Honge [Aur Ibn Abi Shaybah Kee Riwayat Me Hai : (Deegar) Shaheedo’n Ke Noor Ke Muqaabale Me Woh Noor Aath-08 Guna Ziyaada Fazeelat Rakhta Hoga.] Aur Aap Yeh Bhi Farmate They Ki Jahannum Ke Saat-07 Darwaaze Hain Un Me Se Teen Harooriya (Khawaarij) Ke Liye (Makhsoos) Hain.”

رواه عبد الرزاق وابن أبي شيبة.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/155,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, Raqm-37911,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-168, Raqm-92.]

25/93.       “Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Jis Cheez Ka Tum Par Khadsha Ho Woh Ek Aisa Aadami Hai Jis Ne Qur’an Parha Yaha’n Tak Ki Jab Us Par Us Qur’an Ka Jamaal Dekha Gaya Aur Woh Us Waqt Tak Jab Tak Allah Ne Chaaha Islam Kee  Khaatir Doosro’n Kee Pusht Panaahee Bhi Karta Tha. Phir Woh Us Qur’an Se Door Ho Gaya Aur Us Ko Apni Pusht Peechhe Phaikne Diya Aur Apne Parosee Par Talwaar Le Kar Chadh Daura Aur Us Par Shirk Ka Ilzaam Lagaaya, Raawi Bayan Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Aye Allah Ke Nabi! Un Dono’n Me Se Kaun Ziyaada Shirk Ke Qareeb Tha Shirk Ka Ilzaam Lagaane Waala Ya Jis Par Shirk Ka Ilzaam Laga. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Shirk Ka Ilzaam Lagaane Wala.”

رواه ابن حبان والبزار والبخاري في الكبير، إسناده حسن.

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/282, Raqm-81,

Bazzar Fi Al-Musnad,  07/220, Raqm-2793,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 04/301, Raqm-2907,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/88, Raqm-169,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/254, Raqm-1291,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/24, Raqm-43,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/188,

وقال : إسناده حسن،

Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 02/266,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-169, Raqm-93.]

26/94.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Hujre Ke Qareeb Du’aa Karte Hu’e Suna, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farma Rahe They : Aye Allah! Hamaare Mud Aur Hamaare Saa’a (Mud Aur Saa’a Ghalla Maapne Ke Do Aale Hain) Me Barkat Daal Aur Hamaare Shaam Aur Yaman Me Barkat ‘Ata Farma, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashriq Rookh Ho Ga’e Aur Farmaya : Yaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega Aur (Yahin Se) Zalzale Aur Fitne Zaahir Honge Aur Yahin Se Sakht Guftaar, Takabbur Ke Saath Chalne Waale (Log Zaahir) Honge.”

رواه الطبراني.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/252, Raqm-7421,

Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj, 04/44, Raqm-3183,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-169, 170, Raqm-94.]

27/95.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Meri Ummat Me Mashriq Kee Jaanib Se Kuchh Aise Log Niklege Jo Qur’an Padhte Honge Lekin Woh Un Ke Halaq Se Neeche Nahin Utarega Aur Un Me Se Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee (Soorat) Me Niklega Woh Kaat Diya Jaa’ega, Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Yoo’n Hee Das-10 Baar Se Bhi Ziyaada Martaba Dohraaya Aur Farmaya : Un Me Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee Soorat Me Zaahir Hoga Kaat Diya Jaa’ega Yaha’n Tak Ki Un Hee Kee Baaqi Bachi Hu’i Nasl Se Dajjal Niklega.”

رواه أحمد والحاكم.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/198, Raqm-6871,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/533, Raqm-8479,

Ibn Hammad Fi Al-Fitan, 02/532,

Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/377,

Ajuri Fi Ash-Shari’ah, 01/113, Raqm-260,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/228,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-170, 171, Raqm-95.]

28/96.       “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Logo’n Par Ek Aisa Zamaana Aa’ega Ki Woh Masjido’n Me Jam’a Honge, Namazein Ada Karenge Lekin Un Me Se Momin Ko’i Nahin Hoga.”

رواه ابن أبي شيبة والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد على شرط الشيخين.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/163, Raqm-30355,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/505, Raqm-37586,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/489, Raqm-8365,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/441, Raqm-8086,

Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/266,

Firyabi Fi Sifat-un-Nifaq Wa Dhamm-ul-Munafiqin, 01/80, Raqm-108, 110,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-171, Raqm-96.]

29/97.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aakhiree Zamaane Me Kuchh Log Paida Honge Jo Dunya Ko Deen Ke Zari’e Haasil Karenge, Logo’n Ke Saamne Bhed Kee Khaalo’n Ka Narm Libaas Pehnenge.  Un Zubaane Shakkar Se Ziyaada Sheerri Ho’n Gee [Ek Riwayat Me Hain Ki Shahad Se Ziyaada Meethee Ho’n Gee] Aur Un Ke Dil Bhediyo’n Ke Dilo’n Kee Tarah (Khoonkhaar) Honge. Allah ‘Azza Wa Jalla Farmata Hai : ˝Kya Yeh Log Mujhe Dhauka Dena Chaahte Hain Ya Mujh Par Dileree Karte Hain?  (Ya Mujh Se Nahin Darte?) Mujhe Apni (Zaat Kee) Qasam!  Jo Log Un Me Se Honge, Mein Zaroor Un Par Aise Fitne Bhejoonga Jo Un Me Se Burdbaar Logo’n Ko Bhi Hairaan Kar Denge.”

 رواه الترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/604, Raqm-2404, 2405,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/235, Raqm-35624,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/362, Raqm-6956,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/379,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/17, Raqm-50,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/510, Raqm-8919,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/32,

Ibn Hannad Fi Az-Zuhd, 02/347, Raqm-860,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-171, 172, Raqm-97.]

30/98.       “Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Riwayat Kee Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Naw’umr Log Niklege Jo Nihayat Tej Tarraar Aur Qur’an Ko Nihayat Fasaahat Wa Balaagat Se Padh Ne Waale Honge Woh Qur’an Padhege Lekin Woh Un Ke Halaq Se Neeche Nahin Utarega.  So Tum Jab Un Se Milo’n To Unhe’n Qatl Kar Do Phir Jab (Un Ka Ko’i Doosra Giroh Nikale Aur) Tum Unhe’n Milo’n To Unhe’n Bhi Qatl Kar Do, Yaqeenan Un Ke Qaatil Ko Azr ‘Ata Kiya Jaa’ega.”

رواه أحمد والحاكم وابن أبي عاصم.

رجال أحمد رجال الصحيح، وقال ابن أبي عاصم. : إسناده صحيح، وقال الخاكم : هذا حديث صحيح.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/36, 44,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/159, Raqm-2645,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/456, Raqm-937,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/637, Raqm-1519,

وقال : إسناده حسن،

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/187,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/322, Raqm-3460,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/230,

Harith Fi Al-Musnad, (Zawa’id Haythami) 02/714, Raqm-704,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-172, 173, Raqm-98.]

31/99.       “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Mein Fula’n Fula’n Waadi Se Guzara To Mein Ne Ek Nihayat Mutwaaze’ Zaahiran Khoobsoorat Dekha’i Dene Waale Shakhs Ko Namaz Padhte Dekha. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Se Farmaya : Us Ke Paas Jaa Kar Use Qatl Kar Do. Raawi Ne Kaha Ki Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Ga’e To Unhone Jab Use Is Haal Me (Nihayat Khushooa Se Namaz Padhte) Dekha To Use Qatl Karna Munaasib Na Samjha Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me (Use Baghair Qatl Ki’e) Laut Aa’e, Raawi Ne Kaha Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Farmaya : Jaao Use Qatl Karo,  Hazrat ‘Umar Ga’e Aur Unhone Bhi Use Isee Haalat Me Dekha Jaise Ki Hazrat Aboo Bakr Ne Dekha Tha.  Unhone Bhi Us Ke Qatl Ko Napasand Kiya.  Bayan Kiya Ki Woh Bhi Laut Aa’e. Aur ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Mein Ne Use Nihayat Khushoo’ Wa Khuzoo’ Se Namaz Padhte Dekha To (Is Haalat Me) Use Qatl Karna Pasand Na Kiya.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ali!  Jaao Use Qatl Karo Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tashreef Le Ga’e, To Unhe’n Woh Nazar Na Aaya To Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Laut Aa’e, Phir ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Kahi’n Dikhaa’i Nahin Diya. Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Yeh Aur Is Ke Saathi Qur’an Padhege Lekin Woh Un Ke Galo’n Se Neeche Nahin Utarega,  Woh Deen Se Is Tarah Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai Phir Woh Us Me Palat Kar Nahin Aaeinge Yaha’n Tak Ki Teer Palat Kar Kamaan Me Na Aa Jaa’e (Ya’ni Un Ka Palat Kar Deen Kee Taraf Lautna Na Mumkin Hai) Sau Tum Unhe’n (Jab Bhi Paao) Qatl Kar Do, Woh Bad’tareen Makhlooq Hain.”

رواه أحمد. ورجاله ثقات.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/15, Raqm-11133,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/225,

وقال : رجاله ثقات،

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, Raqm-12/229,

Ibn Hazm Fi Al-Muhalla, 11/104,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 07/351,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-173, 174, Raqm-99.]

32/100.    “Hazrat Aboo Bakrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ek Shakhs Ke Paas Se Guzre Jo Sajde Kee Haalat Me Tha. Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Ke Liye Tashreef Le Ja Rahe They.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaz Ada Kee Aur Us Kee Taraf Laute Aur Woh Us Waqt Bhi (Haalate) Sajda Me Tha. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khade Hu’e Aur Farmaya : Kaun Ise Qatl Karega?  To Ek Aadami Khada Hua Us Ne Apne Baazoo Chadhaaye Talwaar Nikaali Aur Use Lehraaya (Us Kee Taraf Dekha To Us Kee Zaahiri Deeni Waza Qat’a Ko Dekh Kar Mutassir Ho Gaya) Phir ‘Arz Kiya : Ya NabiyAllah ﷺ!  Mere Maa Baap Aap Par Qurban!  Mein Kaise Us Shakhs Ko Qatl Kar Doo’n Jo Haalate Sajda Me Hai Aur Gawaahi Deta Hai Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Be Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain? Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kaun Ise Qatl Karega?  To Ek Shakhs Khada Hua, ‘Arz Kiya : Mein, To Us Ne Apne Baazoo Chadhaaye Apni Talwaar Nikaali Aur Use Lehraaya (Use Qatl Kar Ne Hee Laga Tha) Ki Us Ke Haath Kaanpe, ‘Arz Kiya, Aye Allah Ke Nabi ﷺ!  Mein Kaise Aise Shakhs Ko Qatl Kar Doo’n Jo Haalate Sajda Me Gawaahi Deta Hai Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Be Shak Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Us Ke Bande Aur Rasool Hain?  To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabze Me Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Jaan Hai!  Agar Tum Use Qatl Kar Dete To Woh Fitno Ka Awwalo Aakhir Tha (Ya’ni Yeh Fitna-e Khaarijiyyat Isee Par Khatm Ho Jaata).”

رواه أحمد وابن أبي عاصم.

إسناده صحيح ورجاله كلهم ثقات كما قال ابن أبي عاصم والهيثمي.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/42, Raqm-19536,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/457, Raqm-938,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/225,

وقال : رواه أحمد والطبراني ورجال أحمد رجال الصحيح،

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami) 02/713, Raqm-703,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/131,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-174, 175, Raqm-100.]

33/101.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamana-e Mubarak Me Ek Shakhs Tha Jis Kee Ibadat Guzaari Aur Mujaahide Ne Hame’n Hairaani Me Mubtala Kiya Hua Tha. (Aur Ek Riwayat Me Yaha’n Tak Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Me Se Baa’z Use Khood Se Bhi Afzal Samajh Ne Lage They) Hum Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Us Ka Naam Aur Us Kee Sifat Bayan Kar Ke Us Ka Ta’rroof Karaaya.  Ek Dafa Hum Us Ka Zikr Kar Rahe They Ki Woh Shakhs Aa Gaya. Hum Ne ‘Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ!) Woh Shakhs Yeh Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Tum Jis Shakhs Kee Khabarein Dete They Yaqeenan Us Ke Chehre Par Shaitani Rang Hai Phir Woh Shakhs Qareeb Aaya Yaha’n Tak Ki Un Ke Paas Aa Kar Khada Ho Gaya Aur Un Se Salam Bhi Nahin Kiya. To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya : Mein Tujhe Allah Kee Qasam Deta Hoo’n (Ki Sach Bataana) Jab Too Majlis Ke Paas Khada Tha, Too Ne Apne Dil Me Yeh Nahin Kaha Tha Ki In Logo’n Me Mujh Se Afzal Ya Mujh Se Ziyaada Barghuzeedah Shakhs Ko’i Nahin? Us Ne Kaha! Allah Kee Qasam! Haa’n (Mein Ne Kaha Tha). Phir Woh (Masjid Me) Daakhil Hua, Namaz Padh Ne Laga. [Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Phir Woh Shakhs Muda Masjid Ke Sahan Me Aaya, Namaz Kee Taiyaari Kee, Taange Seedhi Kee Aur Namaz Padh Ne Laga] To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Shakhs Ko Kaun Qatl Karega? Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Mein Karunga. Phir Woh Us Ke Paas Ga’e To Use Namaz Padhte Hu’e Paaya Kehne Lage. Sub’hanAllah Mein Namaz Padhte Shakhs Ko (Kaise) Qatl Karoo’n? Jab Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaziyo’n Ko Qatl Kar Ne Se Mana Farmaya Hai To Woh (Use Qatl Ki’e Baghair) Baahar Nikal Ga’e. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Ne Kya Kiya?  ‘Arz Kiya : Mein Ne Is Haalat Me Ki Woh Namaz Padh Raha Tha Use Qatl Karna Na Pasand Kiya Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaziyo’n Ko Qatl Kar Ne Se Mana Kiya Hai.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Us Shakhs Ko Kaun Qatl Karega? Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Mein Karunga, Phir Woh Us Ke Paas Ga’e To Use Allah ‘Azza Wa Jalla Kee Bargah Me Chehra Jhukaye Dekha Hazrat ‘Umar Ne Kaha : Hazrat Aboo Bakr Mujh Se Afzal Hain Lehaaza Woh Bhi (Use Qatl Ki’e Baghair) Baahar Nikal Ga’e. To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Ne Kya Kiya? ‘Arz Kiya Mein Ne Use Allah Ta’ala Kee Bargah Me Sar Jhukaye Dekha To (Is Haalat Me) Use Qatl Karna Naa Pasand Kiya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kaun Us Shakhs Ko Qatl Karega? To Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne ‘Arz Kiya,  Mein Karunga, Aap SallAllahu SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Hee Us Ke (Qatl Ke) Liye Ho Agar Tum Ne Use Paa Liya To (Tum Zaroor Us Ka Qatl Kar Loge) Raawi Ne Bayan Kiya Ki Andar Us Ke Paas Ga’e To Dekha Ki Woh Chala Gaya Tha Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Laut Aa’e.  Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Woh Qatl Kar Diya Jaata To Meri Ummat Me Do² Aadmiyo’n Me Bhi Kabhi Ikhtilaf Na Hota, Woh (Fitne Me) Un Ka Awwalo Aakhir Tha. Hazrat Moosa Ne Bayan Kiya Mein Ne Hazrat, Hazrat Muhammad Bin Kaa’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna : Farmate Hain : Woh Wahi Pistaan (Ke Mushaabeh Haath) Waala Shakhs Tha Jise Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Qatl Kiya Tha.”

Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Shaitaan Ka Pehla Seeng Hai Jo Meri Ummat Me Zaahir Hoga (Ya Pehla Seeng Hai Jo Meri Ummat Me Zaahir Hua) Jab Ki Tum Use Qatl Kar Dete To Tum Me Se Do² Aadmiyo’n Me Bhi Kabhi Ikhtilaf Naa Hota.  Be Shak Bani Isra’il Me Ikhtilaf Se Woh 71 Ya 72 Firqo’n Me Bat Ga’e Aur Tum Anqareeb Itne Hee Ya Us Se Ziyaada Firqo’n Me Bat Jaaoge. Un Me Se Ko’i Raahe Raast Par Nahin Hoga Siwaaye Ek Ke, ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Woh Ek Firqa Kaunsa Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jam’a’at (Sab Se Bada Giroh) Is Ke Ilaawah Doosre Sab Aag Me Jaaenge.”

رواه أبو يعلى وعبد الرزاق وأبو نعيم.

ورجاله رجال الصحيح كما قال الهيثمي.

وإسناده صحيح.

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/90, Raqm-90,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/155, 168, Raqm-4143, 4127,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/155, Raqm-18674,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/52,

Marwazi As-Sunnah, 01/21, Raqm-53,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,17/69, Raqm-2499,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/226,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-175, 176, 177, Raqm-101.]

34/102 .   “Hazrat Taariq Bin Ziyaad Ne Bayan Kiya Ki Hum Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Khawaarij Kee Taraf (Un Se Jung Ke Liye) Nikle Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Unhe’n Qatl Kiya Phir Farmaya : Dekha Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Aise Log Niklege Ki Haqq Kee Baat Karenge Lekin Woh Un Ke Halaq Se Neeche Nahin Utarega Woh Haqq Se Yoo’n Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai.”

رواه نسائي و أحمد.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/161, Raqm-8566,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/107, Raqm-848,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/714, Raqm-1224,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 14/362, Raqm-7689,

Marwazi Ta’zim As-Salat, 01/256, Raqm-247,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 13/338, Raqm-2948,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-178, 179, Raqm-102.]

35/103.    “‘Abd Allah Bin Haaris Bin Nawfal Maula Miqsam Abool Qasim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Us Ka Ek Giroh Hoga Jo Deen Se (Zaahiran) Bohat Gahdi Waabastagi Rakhne Waale Nazar Aaeinge Magar Deen Se Yoo’n Nikal Jaa’enge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jaata Hai…… Phir Mukammal Hadith Zikr Kee.”

رواه أحمد وابن أبي عاصم.

وقال ابن أبي عاصم : إسناده جيد ورجاله كلهم ثقات.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/219, Raqm-7038,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/453, 454, Raqm-929, 930,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/631, Raqm-1504,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/237,

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,12/292,

Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/176,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-179, Raqm-103.]

36/104.    “Hazrat Uqba Bin Aamir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Unhone Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Anqareeb Meri Ummat Me Se Aise Log Niklege Jo Qur’an Ko Yoo’n (Ghat Ghat) Padhege Goya Woh Doodh Pee Rahe Ho’n.”

رواه الطبراني ورجاله ثقاة كما قال الهيثمي والمناوي.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 17/297, Raqm-821,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/229,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 04/118,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-180, Raqm-104.]

37/105.    “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Fatah (Makka) Ke Saal Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Makkah Mukarramah Me Daakhil Hu’e To Aap Ke Sar Mubarak Par Lohe Ka Khood (Lohe Kee Topi Jo Ladaa’i Me Pahente Hain) Tha Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Utaara To Ek Shakhs Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Ka Gustaakh) Ibn Khatal (Jaan Bachaane Ke Liye) Kaa’be Ke Parde Se Latka Hua Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Use (Waha’n Bhi) Qatl Kar Do.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/655, Raqm-1749,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1107, Raqm-2879,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1561, Raqm-4035,

Muslim Fi As-Sahih, 06/989, Raqm-1357,

Tirmidhi Fi As-Sunan,

وقال : هذا حديث حسن صحيح،

04/202, Raqm-1693,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/60, Raqm-2685,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/200, Raqm-2867,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/382, Raqm-3850,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/185, 231, 232, Raqm-12955, 13437, 13461, 13562,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 09/37, Raqm-3721,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 02/259,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/29, Raqm-9034,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-180, 181, Raqm-105.]

38/106.    “Urwah Bin Muhammad Ne Bilqeen Ke Kisi Shakhs Se Riwayat Kee Ki Ek Aurat Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Gaaliyan Diya Karti Thi. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Dushman Se Mera Badla Kaun Lega?  To Hazrat Khalid Bin Walid RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Ga’e Aur Use Qatl Kar Diya.”

رواه عبد الرزاق والبيهقي.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/307, Raqm-9705,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/202,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/140,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-181, Raqm-106.]

39/107.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Mushriq Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Gaaliya’n Dee. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kaun Mere Dushman Se Badla Lega?  Hazrat Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : ˝Mein”, Phir Maidaan Me Nikal Kar Use Qatl Kar Diya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Qatl Hone Waale (Mashriq Shakhs) Ke Jism Ka Saamaan Hazrat Zubair RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko De Diya.”

رواه عبد الرزاق و أبونعيم.

[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 05/237, 307, Raqm-9477, 9704,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 08/45,

Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/154,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-181, Raqm-107.]

40/108.    “Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo (Musalman) Apna Deen Badal Le (Ya’ni Us Se Phir Jaa’e) Use Qatl Kar Do.”

رواه البخاري والترمذي وأبو داود والنساءي وابن ماجه واللفظ لهما.

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1098, Raqm-2854,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/59, Raqm-1458,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/126, Raqm-4351,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/103, Raqm-4059,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/848, Raqm-2535,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/322, Raqm-2968,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/327, Raqm-4475,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-182, Raqm-108.]

41/109.    “Abdil Malik Ne Aboo Hurairah Se Riwayat Bayan Kee Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Hazrat Aboo Moosa (Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Ko (Apna Governor Bana Kar) Nifaaze Huqoomat Ke Liye Bheja To Khawaarij (Apne Sardaar) ‘Abd Allah Bin Wahab Raasibi Ke Ghar Me Jam’a Hu’e Aur Us Ne Inhe’n Baleegh Khutba Diya Jis Me Us Ne Unhe’n Is Dunya Se Be Raghbati Aur Aakhirat Aur Jannat Kee Raghbat Dilaa’i Aur Unhe’n Amr Bil Ma’roof Aur Nahy Anil Munkar Par Ubhaara Phir Kaha : Hamaare Liye Zaroori Hai Hum Pahaado’n Ya Doosre Shahro’n Kee Taraf Nikal Jaa’e’n Taa Ki In Gumraah Kar Ne Waali Bid’ato’n Se Hamara Inkaar Saabit Ho Jaa’e…… Phir Sab Shurayh Bin Abi Awfa Abasi Ke Ghar Jam’a Hu’e To Ibn Wahab Ne Kaha : Ab Ko’i Shahar Aisa Dekhna Chaahiye Ki (Use Apna Markaz Bana Kar) Hum Sab Usee Me Jam’a Ho Kar Allah Ta’ala Ka Hukm Jaari Kare Kyun Ki Ahle Haqq Ab Tum Hee Log Ho.”

رواه ابن جرير وابن الأثير وابن كثير.

[Ibn Jarir Al-Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 03/213, 214,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 07/285, 286,

Ibn Jawzi Fi Al-Muntazam Fi Tarikh Al-Mulooki Wa’l-Umam, 05/130, 131,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-182, 183, Raqm-109.]

42/110.    “Imam Ibn Athir Ne ‘Al-Kamil’ Me Bayan Kiya : ˝Ash’as Bin Qais Ne Us Ahadnaame Ko (Jo Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Darmiyan Hua Tha) Le Kar Har Har Qabeele Me Logo’n Ko Sunaana Shuroo Kiya. Jab Qabeele Bani Tameem Me Pahonche To Urwah Bin Udayyah (Khaariji) Jo Aboo Bilal Ka Bha’i Tha Bhi Un Me Tha Jab Us Ne Woh Mu’ahida Unhe’n Sunaaya To Urwah (Khaariji) Kehne Laga : Allah Ta’ala Ke Farman Me Aadmiyo’n Ko Hakam Banaate Ho? Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Hukm Nahin Kar Sakta.”

[Ibn Athir Fi Al-Kami Fi At-Tarikh, 03/196,

Ibn Jawzi Fi Al-Muntazam Fi Tarikh Al-Mulooki Wa’l-Umam, 05/123,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-183, Raqm-110.]

43/111.    “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Unhone Khawaarij Ko Naharwaan Se Khat Likha : ˝Allah Ta’ala Ke Naam Se Shuroo Jo Nihayat Maherbaan Hamesha Raham Farmaane Waala Hai,. Allah Ta’ala Ke Bande Amir-ul-Mu’mineen Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Taraf Se Zayd Bin Husayn Aur ‘Abd Allah Bin Wahab Aur Un Ke Pairokaaro’n Ke Liye.  Waazeh Ho Ki Woh Do² Shakhs Jin Ke Faisle Par Hum Raazi Hu’e They Unhone Kitabullah Ke Khilaaf Kiya Aur Allah Ta’ala Kee Hidayat Ke Baghair Apni Khwahishat Kee Pairwi Kee.  Jab Unhone Qur’ano Sunnat Par Amal Nahin Kiya To Allah Ta’ala Aur Allah Ta’ala Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Sab Ahle Iman Un Se Bari Ho Ga’e. Tum Log Is Khat Ko Dekhte Hee Hamari Taraf Chale Aao Taa Ki Hum Apne Aur Tumhaare Dushmano’n Kee Taraf Nikle Aur Hum Ab Bhi Apni Usee Pehli Baat Par Hain.”

“Is Khat Ke Jawab Me Unhone (Ya’ni Khawaarij Ne) Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Likha : ˝Waazeh Ho Ki Ab Tumhaara Ghazab Ab Allah Ke Liye Nahin Hai Is Me Nafsaaniyyat Shareek Hai Ab Agar Tum Apne Kufr Par Gawaah Ho Jaao (Ya’ni Kafir Hone Ka Iqraar Kar Lo) Aur Naye Sire Se Tawbah Karte Ho To Dekha Jaa’ega Warna Hum Ne Tumhe’n Door Kar Diya Kyun Ki Allah Ta’ala Khayaanat Karne Waalo’n Ko Dost Nahin Rakhta.”

“Phir Jab Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Un Ka Khat Parha To Un Ke (Hidayat Kee Taraf Lautne Se) Maayoos Ho Ga’e Lehaaza Unhe’n Un Ke Haal Par Chhor Ne Ka Phaisla Kar Ke Apne Lashkar Ke Saath Ahle Shaam Se Jaa Mile.”

رواه ابن جرير وابن الأثير وابن كثير.

[Ibn Jarir At-Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 03/117,

Ibn Athir Fi Al-Kami Fi At-Tarikh, 03/216,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 07/287,

Ibn Jawzi Fi Al-Muntazam Fi Tarikh Al-Mulooki Wa’l-Umam, 05/132,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-183, 184, Raqm-111.]

44/112.    “Ziyad Bin Abeeh Se Marwi Hai Ki Urwah Bin Hudair (Khaariji) Naharwaan Kee Jung Se Bach Gaya Aur Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daur Tak Zinda Raha Phir Woh Ziyaad Bin Abeeh Ke Paas Laaya Gaya Us Ke Saath Us Ka Ghulaam Bhi Tha To Ziyaad Ne Us Se Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Haal Daryaaft Kiya? Us Ne Kaha : Ibtida Me Chheh-06 Saal Tak Unhe’n Mein Bohat Dost Rakhta Tha Phir Jab Unhone Bid’atein Shuroo Kee To Un Se Alag Ho Gaya Is Liye Ki Woh Aakhir Me (Nauzu Billah) Kafir Ho Ga’e They, Phir Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haal Poochha? Kaha : Woh Bhi Shuroo’at Me Achchhe They Jab Hakam Banaaya (Nauzu Billah) Kafir Ho Ga’e.  Is Liye Un Se Bhi Alag Ho Gaya. Phir Hazrat Mu’awiya RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Haal Daryaaft Kiya?  To Woh (Nauzu Billah) Unhe’n Sakht Gaaliyan Dene Laga….. Phir Ziyaad Ne Us Kee Gardan Kaat Ne Ka Hukm De Diya.”

رواه الشهرستاني.

[Shahrastani Fi Al-Milal Wa Al-Nihal, 01/137,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-185, Raqm-112.]

45/113.    “Aboo Tufayl Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zamaane Me Ek Larka Paida Hu’e Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Laaya Gaya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Us Ke Chehre Se Pakda Aur Use Du’aa Dee Aur Us Ka Yeh Asar Hua Us Kee Peshaani Par Khaas Taur Par Baal Uge Jo Tamam Baalo’n Se Mumtaaz They Woh Larka Juwaan Hua Aur Khawaarij Ka Zamaana Aaya To Use Mahabbat Ho Ga’i. (Ya’ni Khawaarij Kee Girveedah Ho Gaya) Usi Waqt Woh Baal Jo Daste Mubarak Ka Asar They Jhar Ga’e Us Ke Baap Ne Jo Yeh Haal Dekha Use Qaid Kar Diya Ki Kahin Un Me Mil Na Jaa’e. Aboo Tufail Kehte Hain Ki Hum Log Us Ke Paas Ga’e Aur Use Wa’zo’n Naseehat Kee Aur Kaha : Dekho, Tum Jab Un Logo’n Kee Taraf Ma’il Hu’e To Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Du’aa Kee Barkat Tumhari Peshaani Se Jaati Rahi Gharaz Jab Tak Us Shakhs Ne Un Kee Raay Se Ruzooa Na Kiya Hum Us Ke Paas Se Hate Nahin. Phir Jab Khawaarij Kee Mahabbat Us Ke Dil Se Nikal Ga’i To Allah Ta’ala Ne Dobaara Us Kee Peshaani Me Woh Mubarak Baal Lauta Di’e To Us Ne Un Ke Aqa’id Se Sachchi Tawbah Kar Lee.”

رواه أحمد وابن أبي شيبة.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/456, Raqm-23856,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/556, Raqm-37904,

Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/174, Raqm-220,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 06/243,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/275,

وقال : رواه أحمد والطبراني ورجاله رجال على ابن زيد وقد وثق،

Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 05/359, Raqm-6972,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-186, Raqm-113.]

46/114.    “Sa’iyd Bin Juhmaan Se Marwi Hai Bayan Kiya Ki Khawaarij Mujhe (Apni Taraf) Daawat Diya Karte They (Sau Us Se Muta’assir Ho Kar) Qareeb Tha Ki Mein Un Ke Saath Shaamil Ho Jaata Ki Aboo Bilal Kee Bahan Ne Dekha Ki Aboo Bilal Kaale Lambe Baalo’n Waale Kutto’n Kee Shakl Me Hain Aur Us Kee Aankhein Beh Rahi Thi.  Bayan Kiya Ki Us Ne Kaha : Aye Aboo Bilal Mera Baap Aap Par Qurban,  Kya Wajah Hai Ki Mein Tumhe’n Is Haal Me Dekh Rahi Hoo’n. Us Ne Kaha : Hum Log Tumhaare Baa’d Dozakh Ke Kutte Bana Di’e Ga’e Hain Woh Aboo Bilal Khaarjiyo’n Ke Sardaaro’n Me Se Tha.”

رواه ابن أبي شيبة وابن أبي عاصم واللفظ له إسناده صحيح.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/555, Raqm-37895,

‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/634, Raqm-1509,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-187, Raqm-114.]

47/115.    “Hazrat Aboo ‘Uthman Nahdee Bayan Karte Hain Ki Qabeela Bani Yarbooa Ya Bani Tameem Ke Ek Aadami Ne Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Poochha Ki  “الزَّارِيَاتِ وَالْمُرسَلَاتِ والنَّازِعَاتِ“ Ke Kya Maa’na Hain? Ya Un Me Se Kisee Ek Ke Baare Me Poochha To Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Apne Sar Ka Kapara Utaaro, Jab Dikhaaya To Us Ke Baal Kaano’n Tak Lambe They.  Unhone Farmaya : BaaKhuda! Agar Mein Tumhe’n Sar Munda Paata To Tumhara Yeh Sar Uda Deta Jis Me Tumhari Yeh Aankhein Dhnasee Hu’i Hain. Sha’abi Kehte Hain Phir Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ahle Basara Ke Naam Khat Likhwaya Kaha Ki Hame’n Khat Likha Jis Me Tahreer Kiya Ki Aise Shakhs Ke Paas Na Baitha Karo. Raawi Kehta Hai Ki Jab Woh Aata, Hamari Taa’daad Ek Sau Bhi Hoti To Bhi Hum Alag Alag Ho Jaate They.”

رواه سعيد بن يحيى الأموي وغيره بإسناد صحيح كما قال ابن تيمية.

[Ibn Taymiyyah Fi Al-Sarim-ul-Maslool ‘Ala Shatim Al-Rasool, 01/195

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-187, 188, Raqm-115.]

48/116.    “Hazrat Saa’ib Bin Yazeed Ne Bayan Kiya Ki Ek Din Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Logo’n Ke Saath Baithey Dopahar Ka Khaana Kha Rahe They Usee Asna Me Ek Shakhs Aaya Us Ne (Aa’la Qism Ke) Kapde Pahen Rakkhe They Aur Amaama Baandha Hua Tha To Us Ne Bhi Dopahar Ka Khaana Khaaya Jab Faarigh Hua To Kaha, Aye Amir-ul-Mu’mineen (وَالزَّارِيَاتِ ذَرْوًا فَالْحَامِلَاتِ وِقْرًا) Ka Kya Maa’na Hai?  Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya : Too Wahi (Gustaakhe Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Hai. Phir Us Kee Taraf Badhe Aur Apne Baazoo Chadha Kar Use Itne Kode Maare Yaha’n Tak Ki Us Ka Amaama Gir Gaya.  Phir Farmaya : Us Zaat Kee Qasam Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai, Agar Mein Tujhe Sar Munda Paata To Tera Sar Kaat Deta.”

رواه الالكائي.

[Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah, 04/634, Raqm-1136,

Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 01/155,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/166,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/65,

Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 09/08,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-188, Raqm-116.]

49/117.    “Aboo Yaahya Se Marwi Hai Unhone Bayan Kiya Ki Ek Khaariji Ne Sub’h Kee Namaz Me Yeh Aayaat Padhi. ‘Aur Haqeeqat Me Aap Kee Taraf (Yeh) Wahyi Kee Ga’i Hai Aur Un (Paighambaro’n) Kee Tarah (Bhi) Jo Aap Se Pehle (Mab’oos Hu’e) They Ki (Aye Insan!) Agar Too Ne Shirk Kiya To Yaqeenan Tera Amal Barbaad Ho Jaa’ega Aur Too Zaroor Nuqsaan Uthaane Waalo’n Me Se Hoga.'[Al-Zumar, 39 : 65] Mazeed Bayan Kiya, Phir Is Soorat Ko Chhod Ka Us Ne Doosri Soorat Kee Yeh Aayaat Padh Daali,  ‘Phir Aap Sabr Keeji’e, Be Shak Allah Ta’ala Ka Waada Sachcha Hai, Jo Log Yaqeen Nahin Rakhte Kahin Aap Ko Kamzor Hee Na Kar De.’ [Al-Rum, 30 : 60] (Khawaarij) In Aayaat Ko Jaanboojh Kar Chun-Chun Kar Namaz Me Padhte They Jin Se Un Badbakhto’n  Ke Ma’azAllah Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Me Nuqsh Ke Kai Shak Paida Hote They. (Yeh Un Kee Gustaakhiyan Aur Badbakhti Thi.) “

رواه ابن أبي شيبة.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/554, Raqm-37891,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-188, 189, Raqm-117.]

50/118.    “Aboo Ghalib Se Riwayat Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Mein Masjide Dimashq Me Tha Ki Khaarjiyo’n Ke Sattar Sar Dimashq Me Masjid Kee Seedhiyo’n Par Nasab Ki’e Ga’e Hazrat Aboo Umaama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Un Kee Taraf Dekh Kar Kaha Ki Yeh Jahannum Ke Kutte Hain Aur Zere Aasmaan Tamam Maqtoolo’n Se Behtar Hain, Yeh Kaha Aur Ro Pade Phir Meri Taraf Dekha Aur Poochha : Aboo Ghalib, Kya  Too Is Shahar Se Hain, Mein Ne Kaha : Haa’n. Unhone Kaha : Allah Ta’ala Aap Ko Un Se Mehfooz Rakkhe Unhone Kaha Kya Tum Soorah Aale Imaran  Padhte Ho?  Mein Ne Kaha : Haa’n, Phir Yeh Aayaat, ‘Jis Me Se Kuchh Aayate Mohkam (Ya’ni Zaahiran Bhi Saaf Aur Waazeh Maa’Ne Rakhne Waali) Hain Wahi (Ahkaam) Kitab Kee Bunyaad Hain Aur Doosri Aayate Mutshaabah (Ya’ni Maa’Ne Me Kai Ahtimaal Aur Ishtibaah Rakhne Waali) Hain, Phir Woh Log Jin Ke Dilo’n Me Kajee (Buraa’i) Hai Us Me Se Sirf Mutshaabihaat Kee Pairwi Karte Hain (Fakat) Fitna Parwari Kee Khwahish Ke Zere Asar Aur Asl Muraad Kee Bajaaye Manpasand Maa’ne Muraad Lene Kee Garaz Se, Aur Us Kee Asl Muraad Ko Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Nahin Jaanta, Aur Amal Me Kaamil Pukhtagi Rakhne Waale.'[Al-Imran, 03 : 07] Aur Farmaya : ‘Jis Din Kai Chehre Safed Honge Aur Kai Chehre Siyaah Honge, To Jin Ke Chehre Siyaah Ho Jaa’enge (Un Se Kaha Jaa’ega) Kya Tum Ne Iman Laane Ke Baa’d Kufr Kiya?  To Jo Kufr Tum Karte Rahe They So Un Ke ‘Azaab (Ka Maza) Chakh Lo.'[Al-Imran, 03 : 106] Mein Ne Kaha : Aboo Umaama!  Mein Dekhta Hoo’n Ki Aap Ro Rahe Hain? Unhone Kaha : Haa’n, Un Logo’n (Khaarjiyo’n) Par Taras Khaate Hu’e Kyun Ki (Khaariji Se Pehle) Ahle Islam Me Se They Aur Kaha, Qaume Bani Isra’il Ikhattar Firqo’n Me Bat Ga’i Thi Aur Yeh Ummat Un Se Ek Firqa Badhegi (Ya’ni Bahattar Firqo’n Me Bat Jaa’egi) Aur Sawaade Aazam (Jo Sab Se Bada Tabaqa Hai) Us Ko Chhod Kar Baaqi Saare Jahannum Me Jaa’enge, Woh Us Ke Jawab Deyh Hain Jo Jimmedaari Un Par Daali Ga’i Aur Tum Us Ke Jawab Deyh Ho Jo Jimmedaari Tum Par Daali Ga’i Aur Agar Tum Rasool Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Farmaabardaari Karoge To Hidayat Paa Jaaoge Aur Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Jimme To Sirf Pahoncha Dena Hee Hai Aur Ghaur Se (Ahkaamaat) Sun’na Aur Un Ko Baza Laana Tafarika Aur Nafarmani Se Behtar Hai.  Phir (Yeh Sun Kar) Ek Shakhs Ne Kaha : Aye Aboo Umaama!  Kya Aap Apni Taraf Se Yeh Baate’n Keh Rahe Ho Ya Un Me Se Kuchh Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suni Hain?  Unhone Farmaya : (Agar Mein Apni Taraf Se Kahoo’n) Tab To Mein Bohat Badi Jasaarat (Hausla) Karne Waala Hoo’n Nahin Balki Mein Ne (Yeh Baate’n) Ek¹ Ya Do² Dafa Nahin Balki Saat-07 Baar (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Se Suni Hain.”

رواه ابن أبي شيبة والبيهقي والطبراني.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/554, Raqm-37892,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/188,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 08/267, 268, Raqm-8034, 8035,

Harith Fi Al-Musnad (Zawa’id Al-Haythami), 02/716, Raqm-706,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-189, 190, 191, Raqm-118.]