Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 31

٣١۔                       عَنْ عَبْدِ اﷲِ الْجَدَلِيِّ قَالَ: دَخَلْتُ عَلٰی أُمِّ سَلَمَةَ رَضِيَ اللهُ عَنْهَا فَقَالَتْ لِي: أَ يُسَبُّ رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ فِيْکُمْ؟ قُلْتُ: مَعَاذَ اﷲِ، أَوْ سُبْحَانَ اﷲِ أَوْ کَلِمَة نَحْوَهَا قَالَتْ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقُوْلُ: مَنْ سَبَّ عَلِيًّا فَقَدْ سَبَّنِي.

              رَوَاهُ النَّسَائِيُّ وَأَحْمَدُ وَالْحَاکِمُ، وَقَالَ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحُ الإِسْنَادِ، وَقَالَ الْهَيْثَمِيُّ: وَرِجَالُه رِجَالُ الصَّحِيْحِ.

31.              “Ḥaz̤rat ʻAbd Allāh bin Jadalī raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai ki maiṅ Ḥaz̤rat Ummi Salamah raḍiya Allāhu ‘anhā kī ḳhidmat meṅ ḥāz̤ir hūā to unhone mujhe farmāyā: kyā tum logoṅ meṅ Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko gālī dī jātī hai? Maiṅ ne kahā: Allāh kī panāh yā Allāh kī ẕāt pāk hai yā isī ṭarḥ kā ko’ī aur kalimā kahā to unhone farmāyā: maiṅ ne Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko farmāte hū’e sunā hai ki jo ʻAlī ko gālī detā hai woh mujhe gālī detā hai.”

                Is ḥadīs̲ ko imām Nasā’ī, Aḥmad aur Hākim ne riwāyat kiyā hai. Imām Ḥākim ne farmāyā: yeh ḥadīs̲ kī sanad ṣaḥīḥ hai. Imām Hayṯẖamī ne farmāyā: is ke rijāl ṣaḥīḥ ḥadīs̲ ke rijāl haiṅ.

[Aḳhrajah al-Nasā’ī fī al-Sunan al-kubrá, 05/133, al-raqm: 8476,

Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 06/323, al-raqm: 26791,

Aḥmad bin Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥābah, 02/594, al-raqm: 1011,

al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/130, al-raqm: 4615,

al-Hayṯẖamī fī Majmaʻ al-zawa’id, 09/130,

Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh Madīnaṫ Dimashq, 42/266,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/42_43, al-raqm: 31.]