Posted in Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm

ḤUSNU AL-MAʻĀB FĪ ḎH̲IKRI ABĪ TURĀB KARRAMA ALLĀHU WAJ•HAHU AL-KARĪM: 32

٣٢۔                      عَنْ أَبِي سَعِيْدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ قَالَ: اشْتَکٰی عَلِيًّا النَّاسُ. قَالَ: فَقَامَ رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ فِيْنَا خَطِيْبًا، فَسَمِعْتُه يَقُوْلُ: أَيُهَا النَّاسُ، لَا تَشْکُوْا عَلِيًّا، فَوَاﷲِ، إِنَّه لَأَخْشَنُ فِي ذَاتِ اﷲِ، أَوْ فِي سَبِيْلِ اﷲِ.

              رَوَاهُ أَحْمَدُ وَأَبُوْ نُعَيْمٍ وَالْحَاکِمُ، وَقَالَ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحُ الإِسْنَادِ.

32.        “Ḥaz̤rat Abū Saʻīd Ḳhudrī raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki logoṅ ne (Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī bārgāh meṅ) Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ke bāre meṅ ko’ī shikāyat kī. To Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam hamāre darmiyān khar̥e hū’e aur ḳhuṭbā irshād farmāyā. So maiṅ ne āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko yeh farmāte hū’e sunā: ae logoṅ! ʻAli kī shikāyat na karo, Allāh kī qasam woh Allāh kī ẕāt meṅ yā Allāh ke rāstā meṅ bohat saḳht hai.”

                Is ḥadīs̲ ko imām Aḥmad, Abū Nuʻaym aur Ḥākim ne riwāyat kiyā hai. Aur farmāyā: yeh ḥadīs̲ kī sanad ṣaḥīḥ hai.

[Aḳhrajah Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 03/86, al-raqm: 11835,

Aḥmad bin Ḥanbal fī Faḍā’il al-ṣaḥābah, 02/679, al-raqm: 1161,

al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/144, al-raqm: 4654,

Abū Nuʻaym fī Ḥilyaṫ al-awliya’, 01/68,

Ibn ʻAbd al-Barr fī al-istīʻāb, 04/1857,

Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/43_44, al-raqm: 32.]