٢٠۔ عَنْ أَبِي سَعِيْدٍ، قَالَ: قَالَ رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ لِعَلِيٍّ: يَا عَلِيُّ، لَا يَحِلُّ لِأَحَدٍ يُجْنَبُ فِي هٰذَا الْمَسْجِدِ غَيْرِي وَغَيْرُکَ. قَالَ عَلِيُّ بْنُ الْمُنْذِرِ: قُلْتُ لِضَرَارِ بْنِ صُرَدَ: مَا مَعْنٰی هٰذَا الْحَدِيْثِ؟ قَالَ: لَا يَحِلُّ لِأَحَدٍ يَسْتَطْرِقُهُ جُنُباً غَيْرِي وَغَيْرُکَ.
رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَالْبَزَّارُ وَأَبُوْ يَعْلٰی، وَقَالَ التِّرْمِذِيُّ: هٰذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ غَرِيْبٌ.
20. “Ḥaz̤rat Abū Saʻīd raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: ae ʻAlī! Mere aur tumhāre ʻilāwā kisī ke liye jā’iz nahīṅ ki ḥālate janābat meṅ is masjid meṅ rahe. Imām ʻAlī bin Munḏẖir kĕhte haiṅ ki maiṅ ne Ḍarār bin Ṣurad se is kā maʻná pūc̥hā to unhone farmāyā: is se murād masjid ko ba-ṭaur rāstā isteʻmāl karnā hai.”
Is ḥadīs̲ ko imām Tirmiḏẖi, Bazzār aur Abū Yaʻlá ne riwāyat kiyā hai. Imām Tirmidhī ne farmāyā: yeh ḥadīs̲ ḥasan ġharīb hai.
–
[Aḳhrajah al-Tirmiḏẖī fī al-Sunan, kitāb al-manākib, bāb manāqibi ʻAlī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhumā, 05/639, al-raqm: 3727,
al-Bazzār fi al-Musnad, 04/36, al-raqm: 1197,
Abū Yaʻlá fi al-Musnad, 02/311, al-raqm: 1042,
al-Bayhaqī fī al-Sunan al-kubrá, 07/65, al-raqm: 13181,
Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/31, al-raqm: 20.]