Ḥarfe āġhāz
Maulā-e kā’enāt Abū Turāb sayyidinā ʻAlī kī ẕāte aqdas kisī taʻāruf kī moḥtāj nahīṅ balki ḳhẉud taʻāruf āp kā moḥtāj hai. ʻAli woh jo daryā-e maʻrefat kā shanāwar, kitābe Ḥaqq kā mufassir, ʻilme Ilāhī kā Amīn, nafse Rasūl, zauje Batūl, Abū al-Ḥasan aur Abū al-Ḥusayn, Nabī kā rāz-dān, waṣī-e Rasūl, babe Madīnaṫ al-ʻilm, ġhazī-e Badr-o Ḥunain, fāteḥe Ḳhaibar, imam al-auliyā’ wa-al-ṣulaḥā’, imam al-s̲aqalain, qā’id al-muttaqīn aur Amir al-Mu’minīṅ wa-al-Muslimīṅ hai, ʻAlī maulūde Kaʻbā, shahīde masjid aur āyā-e raḥmat aur sāyā-e barkat-o rāfat hai.
Bārgāhe risālat meṅ ḥāṣile maqām maratbā hī sayyidinā ʻAlī ‘alayhi al-salām kī īmānī faz̤īlat aur ẕāte Muṣtafá ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se ġhāir-maʻmūlī wābastagī kī dalīl hai. Āp woh ʻaẓīm al-ṣifāt shaḳhṣīyat haiṅ ki āp kī ẕāt meṅ sharfe ṣaḥābīyat ke sāth sāth sharfe Ahle Bait bhī jamʻa kar diyā gayā. Ḥaz̤rat ʻAlī ‘alayhi al-salām kī parwarish-o tarbīyat chuṅ-ki ḳhẉud mŏʻallime insānīyat aur murabbi-e kā’enāt ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmā’i thī. Yehī waj·h thī ki āp qubūle(e’lāne) Islām se qabl bhī zamānā-e jāhilīyat kī ālā’ishoṅ, ālūdagiyoṅ aur but-parastī kī najāsatoṅ se dūr rahe. Āp un shaḳhṣīyāt me se haiṅ jinhone qubūle ḥaqq meṅ ek lamhā bhī tāmmul na kiyā aur ṣirf āt̥h yā das sāl kī ʻumr meṅ sab se pĕhle qubūle (e’lāne) Islām aur Āqā ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī maʻīyat meṅ namāz adā karne kī saʻādat ḥāṣil kī.
Umm al-mu’minīn sayyidah ʻĀʻishah Ṣiddiqah raḍiya Allāhu ‘anhā bayān farmātī haiṅ ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko sab se ziyādā mĕḥbūb sayyidā-e kā’enāt Ḥaz̤rat Fāṭimaṫ al-Zahrā salāmu Allāhi ‘alayhā thīṅ aur mardoṅ meṅ sab se mĕḥbūb-tar un ke shauhar Ḥaz̤rat ʻAlī ‘alayhi al-salām the. Sayyidah ʻĀ’ishah Ṣiddiqah raḍiya Allāhu ‘anhā hī bayān farmātī haiṅ ki Ḥuz̤ūr ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: maiṅ tamām aulāde Ādam kā sardār hūṅ aur ʻAlī tamām ‘Arab kā sardār hai.ˮ
Maulā-e kā’enāt tājdāre iqlīm-o wilāyat sayyidinā ʻAlī karrama Allāhu ta’ālá waj·hahu al-Karīm kī zindagī kā ek goshā āp kī tamām faz̤īlatoṅ par ḥāwī hai ki āp ko zauje Batūl hone kā sharaf ḥāṣil hai. Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne ḥukme Ilāhī se āp kā nikāḥ sayyidā-e kā’enāt Fāṭimah salāmu Allāhi ‘alayhā se kiyā jis meṅ chālis hazār firishtoṅ ne ba-ṭaur gawāh shumūlīyat kī. Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne sayyidā-e kā’enāt se farmāyā: kyā tum is bāt par rāz̤ī nahīṅ ki maiṅ ne tumhārā nikāḥ apnī ummat meṅ sab se pĕhle Islām lāne wāle, sab se ziyādā ʻilm wāle aur sab se ziyādā burd-bār shaḳhṣ se kiyā hai?ˮ
Bārī taʻālá hameṅ un ʻazīm manābeʻ ʻilm-o wilāyat se iktesābe faiz̤ kī taufiq ʻaṭā farmā’e aur un ke taṣadduq se hamāre īmān kī bhī ḥifāẓat farmā’e. (Āmīn bijāhi Sayyid al-Mursalīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam)
Yeke az sagāne Ahle Bait
(Ḥāfiẓ Ẓahīr Aḥmad al-Isnādī)
Research Scholar, Farīde Millat Research Institute
–
[Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/05_06.]