٣۔ عَنْ عُمَرَ بْنِ أَبِي سَلَمَةَ رَبِيْبِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ: لَمَّا نَزَلَتْ هٰذِهِ الْآيَةُ عَلَي النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ : ﴿إِنَّمَا يُرِيْدُ اﷲُ لِيُذْهِبَ عَنْکُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِرَکُمْ تَطْهِيْرًا﴾ فِي بَيْتِ أُمِّ سَلَمَةَ، فَدَعَا فَاطِمَةَ وَحَسَنًا وَحُسَيْنًا رَضِيَ اللهُ عَنْهُمْ فَجَلَّلَهُمْ بِکِسَائٍ، وَعَلِيٌّ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ خَلْفَ ظَهرِه فَجَلَّلَه بِکِسَائٍ، ثُمَّ قَالَ: اَللّٰهُمَّ، هٰؤُلَاءِ أَهْلُ بَيْتِي، فَأَذْهِبْ عَنْهُمُ الرِّجْسَ وَطَهِرْهُمْ تَطْهِيْرًا.
رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَالْحَاکِمُ نَحْوَهُ، وَقَالَ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ عَلٰي شَرْطِ الْبُخَارِيِّ.
03. Parwardā-e Nabī Ḥaz̤rat ʻUmar bin Abī Salamah raḍiya Allāhu ‘anhu se riwāyat hai ki jab Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam par Ḥaz̤rat Ummi Salamah raḍiya Allāhu ‘anha ke ghar meṅ yeh āyate mubārakā “Ae Ahle Bait! Allāh to yehī chāhtā hai ki tum se (har ṭarḥ kī) ālūdagī dūr kar de aur tum ko ḳhūb pāk-o ṣāf kar deˮ nāzil hū’ī. To āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Fāṭimah, Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhuma ko bulāyā aur ek chādar meṅ d̥hānp liyā. Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke pīc̥he the, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ bhī kamlī meṅ d̥hānp liyā, phir farmāyā: Ilāhī! Yeh mere Ahle Bait haiṅ, in se har ālūdagī ko dūr kar de aur inheṅ ḳhūb pāk-o sāf farmā de.ˮ
Is ḥadīs̲ ko Imām Tirmiḏẖī aur Ḥākim ne isī kī mis̲l riwāyat kiyā hai. Aur Ḥākim ne farmāyā: yeh ḥadīs̲ imām Buḳhārī kī sharā’iṭ par ṣaḥīḥ hai.
–
[Aḳhrajah al-Tirmiḏẖī fī al-Sunan, kitāb al-manākib, bāb manāqibi ʻAlī ibn Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhumā, 05/351, al-raqm: 3205,
al-Tirmiḏẖī fī kitāb al-manāqib, bāb manāqib Ahl al-Bayt al-Nabī ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam, 05/663, al-raqm: 2787,
al-Ḥākim fī al-Mustadrak, al-raqm: 03/158, al-raqm: 4705,
Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/12_13, al-raqm: 03.]