٧۔ عَنْ سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ، قَالَ: خَلَّفَ رَسُوْلُ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عَلِيَّ بْنَ أَبِي طَالِبٍ، فِي غَزْوَةِ تَبُوْکَ. فَقَالَ: يَا رَسُوْلَ اﷲِ، أَتُخَلِّفُنِي فِي النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ؟ فَقَالَ: أَمَا تَرْضٰي أَنْ تَکُوْنَ مِنِّي بِمَنْزِلَةِ هَارُوْنَ مِنْ مُوْسٰي؟ إِلَّا أَنَّه لَا نَبِيَّ بَعْدِي. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَاللَّفْظُ لِمُسْلِمٍ.
07. “Ḥaz̤rat Saʻd bin Abī Waqqāṣ raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne ġhazwā-e Tabūk ke mauqaʻ par Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ko Madīnā meṅ (apnā nā’ib banā kar) c̥hor̥ā to Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ne ʻarz̤ kiyā: yā Rasūl Allāh! Kyā āp mujhe ʻaurtoṅ aur bachchoṅ meṅ pīc̥he c̥hor̥ kar jā rahe haiṅ? Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: kyā tum is bāt par rāz̤ī nahīṅ ki mere sāth tumhārī wohī nisbat ho jo Ḥaz̤rat Hārūn ‘alayhi al-salām kī Ḥaz̤rat Musá ‘alayhi al-salām se thī al-battā mere baʻd ko’ī Nabī nahīṅ hogā.”
Yeh ḥadīs̲ muttafaqun ʻalaih hai aur maẕkūrā alfāẓ Muslim ke haiṅ.
–
[Aḳhrajah al-Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, kitāb al-maġhāzī, bāb ġhazwah Tabūk wahiy ġhazwaṫ al-ʻusrah, 04/1602, al-raqm: 4154,
Muslim fī al-Ṣaḥīḥ, kitāb faḍā’il ʻUṯẖmān bin ʻAffān raḍiya Allāhu ‘anhu, 04/1870_1871, al-raqm: 2404,
al-Tirmiḏẖī fī al-Sunan, kitāb al-manāqib, bāb manāqib Alī bin Abī Ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 05/638, al-raqm: 3724,
Aḥmad ibn Ḥanbal fī al-Musnad, 01/185, al-raqm: 1608,
Ibn Ḥibbān fī al-Ṣaḥīḥ, 15/370, al-raqm: 6927,
Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/17_18, al-raqm: 07.]