١٥۔ عَنْ بُرَيْدَةَ رَضِيَ اﷲ عَنْهُ، قَالَ: غَزَوْتُ مَعَ عَلِيٍّ الْيَمَنَ فَرَأَيْتُ مِنْهُ جَفْوَة، فَلَمَّا قَدِمْتُ عَلٰی رَسُوْلِ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ ذَکَرْتُ عَلِيًّا، فَتَنَقَّصْتُه، فَرَأَيْتُ وَجْهَ رَسُوْلِ اﷲِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَتَغَيَرُ، فَقَالَ: يَا بُرَيْدَةُ، أَلَسْتُ أَوْلٰی بِالْمُؤْمِنِيْنَ مِنْ أَنْفُسِهِمْ؟ قُلْتُ: بَلٰی، يَا رَسُوْلَ اﷲِ، قَالَ: مَنْ کُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ.
رَوَاهُ أَحْمَدُ وَالنَّسَائِيُّ وَابْنُ أَبِي شَيْبَةَ، وَقَالَ الْحَاکِمُ: هٰذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ.
15. Ḥaz̤rat Buraydah raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai ki maiṅ ne Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ke sāth Yaman ke ġhazwā meṅ shirkat kī jis meṅ mujhe āp se kuc̥h shikwā hūā. Jab maiṅ Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī ḳhidmat meṅ wāpas āyā to maiṅ ne āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāmne Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu kā ẕikr karte hū’e un kī tanqīṣ kī to maiṅ ne dekhā ki Ḥuz̤ūr ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kā chehrā-e mubārak mutaġhayyar ho gayā aur āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: ae Buraydah! Kyā maiṅ mominīṅ kī jānoṅ se qarīb-tar nahīṅ hūṅ? To maiṅ ne ʻarz̤ kiyā: kyūṅ nahīṅ, yā Rasūl Allāh! Is par āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: jis kā maiṅ Maulā hūṅ us kā ʻAli Maulā hai.”
Is ḥadīs̲ ko imām Aḥmad, Nasā’ī aur ibn Abī Shaybah ne riwāyat kiyā hai. Aur imām Ḥākim ne farmāyā: yeh ḥadīs̲ ṣaḥīḥ hai.
–
[Aḳhrajah Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 05/347, al-raqm: 22995,
al-Nasā’ī fī al-Sunan al-kubrá, 05/130, al-raqm: 8465,
Ibn Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 12/84, al-raqm: 12181,
al-Ḥākim fī al-Mustadrak, 03/110, al-raqm: 4578,
Ṭāhir al-Qādrī fī Ḥusnu al-maʻāb fī Ḏh̲ikri Abī Turāb karrama Allāhu waj·hahu al-Karīm,/25_26, al-raqm: 15.]