٢١. عَنْ مُعَاوِيَةَ بْنِ قُرَّةَ عَنْ أَبِيْهِ رضي الله عنه، أَنَّ النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم قَالَ لِلْحَسَنِ وَالْحُسَيْنِ: إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا أَوْ قَالَ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا.
رَوَاهُ الْبَزَّارُ، وَقَالَ الْهَيْثَمِيُّ: وَفِيْهِ زِيَادُ بْنُ أَبِي زِيَادٍ وَثَّقَهُ ابْنُ حِبَّانَ وَقَالَ: يَهِمُ وَبَقِيَهُ رِجَالِهِ ثِقَاتٌ
21. Ḥaz̤rat Muʻāwiyah bin Qurrah raḍiya Allāhu ‘anhu apne wālid se riwāyat karte haiṅ ki be shak Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn ke li’e farmāyā: yaqīnan maiṅ in donoṅ se maḥabbat kartā hūṅ yā āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: ae Allāh! Be shak maiṅ in donoṅ se maḥabbat kartā hūṅ pas tū bhī in donoṅ se maḥabbat farmā.
Ise Imām Bazzār ne riwāyat kiyā hai. Imām Hayt̲h̲amī ne farmāyā: is meṅ ziyād bin abī ziyād rāwī ko Ibn Ḥibbān ne s̲iqah qarār diyā hai, aur kahā ki in se sĕhw ho jātā thā jab ki is ḥadīs̲ ke baqīyā rāwī s̲iqah haiṅ.
–
[Aḳhrajahu al-Bazzār fī al-Musnad, 08/252-253, al-raqm/3317,
Wa-d̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/180,
Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/49, al-raqm/21.]