٢٢. عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: يَقُوْلُ لِلْحَسَنِ وَالْحُسَيْنِ: مَنْ أَحَبَّنِي فَلْيُحِبَّهُ
رَوَاهُ الْبَزَّارُ، وَرِجَالُهُ وُثِّقُوْا وَفِيْهِمْ خِـلَافٌ کَمَا قَالَ الْهَيْثَمِيُّ.
22. Ḥaz̤rat Abū Hurayrah raḍiya Allāhu ‘anhu ek riwāyat meṅ bayān karte haiṅ ki maiṅ ne Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn ke li’e bayān farmāte hū’e sunā: jo shaḳhṣ mujh se maḥabbat rakhtā hai woh un se bhī maḥabbat rakhkhe.
Imām Hayt̲h̲amī farmāte haiṅ: ise Imām Bazzār ne riwāyat kiyā hai aur is ke rāwiyoṅ ko s̲iqah qarār diyā gayā hai, aur in meṅ iḳhtelāf hai.
–
[D̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/180,
Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/49-50, al-raqm/22.]