Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 23

٢٣.          عَنْ أُسَامَةَ بْنِ زَيْدٍ عليهما السلام، قَالَ: طَرَقْتُ(1) النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم ذَاتَ لَيْلَةٍ فِي بَعْضِ الْحَاجَةِ، فَخَرَجَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم وَهُوَ مُشْتَمِلٌ(2) عَلٰی شَيئٍ، لَا أَدْرِي مَا هُوَ، فَلَمَّا فَرَغْتُ مِنْ حَاجَتِي. قُلْتُ: مَا هٰذَا الَّذِي أَنْتَ مُشْتَمِلٌ عَلَيْهِ؟ فَکَشَفَهُ فَإِذَا حَسَنٌ وَحُسَيْنٌ عَلٰی وِرْکَيْهِ، فَقَالَ: هٰذَانِ ابْنَايَ وَابْنَا ابْنَتِي، اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُمَا.

رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ وَالنَّسَائِيُّ وَابْنُ حِبَّانَ وَابْنُ أَبِي شَيْبَةَ. وَقَالَ التِّرْمِذِيُّ: هٰذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ غَرِيْبٌ. وَقَالَ الأَلْبَانِيُّ: حَسَنٌ.

قَالَ: طَرَقْتُ النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم: أَي طَلَبْتُ الطَّرِيْقَ إِلَيْهِ فَفِي الْقَامُوْسِ الطَّرْقُ اْلِإتْيَانُُ بِاللَّيْلِ کَالطُّرُوْقِ فَفِي الْکَلَامِ تَجْرِيْدٌ أَوْ تَأْکِيْدٌ وَالْمَعْنَی أَتَيْتُهُ.(المرقاة، 11/ 315)

اَلْاِشْتِمَالُ: أَنْ يَتَلَفَّفَ بِالثَّوْبِ حَتّٰی يُجَلِّلَ بِهِ جَمِيْعَ جَسَدِهِ، وَلَا يَرْفَعُ شَيْئًا مِنْ جَوَانِبِهِ فَلَا يُمْکِنُهُ إِخْرَاجُ يَدِهِ إِلَّا مِنْ أَسْفَلِهِ. (النہایة)

23.          Ḥaz̤rat Usāmah bin Zayd raḍiya Allāhu ‘anhumā se marwī hai, unhone farmāyā: ek rāt maiṅ kisī kām kī ġharaz̤ se Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī ḳhidmat meṅ ḥāz̤ir hūā. Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam is ḥāl meṅ bāhar tashrīf lā’e ki kisī chīz ko apne jism ke sāth kapr̥e se lipt̥e hū’e the. Maiṅ na jān sakā ki woh kyā chīz hai? Jab maiṅ apnī z̤arūrat se fāriġh ho gayā to ʻarz̤ kiyā: (yā Rasūl Allāh!) Yeh kyā chīz hai jis par āp ne chādar odr̥h rakhkhī hai? Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne kapr̥ā ut̥hāyā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī pusht mubārak par Ḥasan aur Ḥusayn ʻalayhimā al-salām the. Phir āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: yeh donoṅ mere bet̥e aur nawāse haiṅ. Ae Allāh! Maiṅ in se maḥabbat kartā hūṅ tū bhī in se maḥabbat farmā aur jo in se maḥabbat kartā hai us se bhī maḥabbat farmā.

          ise Imām‎ Tirmid̲h̲ī, Nasā’ī, Ibn‎ Ḥibbān aur Ibn‎ Abī Shaybah ne riwāyat kiyā hai. Imām‎ Tirmid̲h̲ī ne farmāyā: yeh ḥadīs̲ ḥasan ġharīb hai. Albānī ne bhī ise ḥasan kaḥa hai.

[Aḳhrajahu al-Tirmid̲h̲ī fī al-Sunan, Kitāb al-mānāqib, bāb manāqib al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn ʻalayhimā al-salām, 05/656, al-raqm/3769,

Nasā’ī fī al-Sunan al-kubrá, 05/149, al-raqm/8524,

Ibn‎ Ḥibbān fī al-Ṣaḥīḥ, 15/422-423, al-raqm/6967,

Ibn‎ Abī Shaybah fī al-Muṣannaf, 06/378, al-raqm/32182,

Ibn‎ Abī Shaybah fī al-Musnad, 01/125, al-raqm/163,

Bazzār fī al-Musnad, 07/31, al-raqm/2580,

Wa-d̲h̲akarahu al-Albānī fī Ṣaḥīḥ wa-ḍaʻīf Sunan al-Tirmid̲h̲ī, 08/269, al-raqm/3769,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/50_52, al-raqm/23.]