Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 26

٢٦.          عَنْ عَبْدِ اﷲِ بْنِ مَسْعُوْدٍ رضي الله عنه، قَالَ: کَانَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم يُصَلِّي وَالْحَسَنُ وَالْحُسَيْنُ عليهما السلام يَصْعَدَانِ عَلٰی ظَهْرِهِ، فَأَخَذَ الْمُسْلِمُوْنَ يُمِيْطُوْنَهُمَا، فَلَمَّا انْصَرَفَ قَالَ: رُدُّوْهُمَا فَمَنْ أَحَبَّنِي فَلْيُحِبَّ هٰذَيْنِ.

رَوَاهُ أَبُوْ نُعَيْمٍ وَابْنُ عَسَاکِرَ وَاللَّفْظُ لَهُ.

26.          Ḥaz̤rat ʻAbd Allāh bin Masʻūd raḍiya Allāhu ‘anhu bayān karte haiṅ ki Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam namāz par̥hā rahe the jab ki Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī pusht mubārak par char̥h jāte to musalmān unheṅ hat̥āne lag jāte. Jab āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam namāz se fāriġh hote to farmāte: in donoṅ ko mere pās le ā’o, jo shaḳhṣ mujh se maḥabbat kartā hai use chāhi’e ki woh in donoṅ se bhī maḥabbat kare.

          Ise Imām‎ Abū Nuʻaym ne aur Ibn‎ ʻAsākir ne maz̲kūrā alfāẓ se riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Abū Nuʻaym fī Ḥilyaṫ al-awliyā’, 08/305,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/197,

Ibn‎ Abī Jarādah fī Buġhayaṫ al-ṭalab fi tārīḳh Ḥalab, 06/2575,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/54-55, al-raqm/26.]