Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 29

٢٩.          عَنْ إِسْحَاقَ بْنِ أَبِي حَبِيْبَةَ مَوْلٰی رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه أَنَّ مَرْوَانَ بْنَ الْحَکَمِ أَتٰی أَبَا هُرَيْرَةَ فِي مَرَضِهِ الَّذِي مَاتَ فِيْهِ، فَقَالَ مَرْوَانُ لِأَبِي هُرَيْرَةَ: مَا وَجَدْتُ عَلَيْکَ فِي شَيئٍ مُنْذُ اصْطَحَبْنَا إِلَّا فِي حُبِّکَ الْحَسَنَ وَالْحُسَيْنَ. قَالَ: فَتَحَفَّزَ أَبُوْهُرَيْرَةَ فَجَلَسَ، فَقَالَ: أَشْهَدُ لَخَرَجْنَا مَعَ رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم حَتّٰی إِذَا کُنَّا بِبَعْضِ الطَّرِيْقِ سَمِعَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم صَوْتَ الْحَسَنِ وَالْحُسَيْنِ وَهُمَا يَبْکِيَانِ وَهُمَا مَعَ أُمِّهِمَا، فَأَسْرَعَ السَّيْرَ حَتّٰی أَتَاهُمَا، فَسَمِعْتُهُ يَقُوْلُ لَهَا: مَا شَأْنُ ابْنَيَّ؟ فَقَالَتِ: الْعَطَشُ. قَالَ: فَأَخْلَفَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم إِلٰی شَنَّةٍ(1) يَبْتَغِي(2) فِيْهَا مَائً، وَکَانَ الْمَاءُ يَوْمَئِذٍ أَغْدَارًا، وَالنَّاسُ يُرِيْدُوْنَ الْمَائَ. فَنَادٰی: هَلْ أَحَدٌ مِنْکُمْ مَعَهُ مَائٌ؟ فَلَمْ يَبْقَ أَحَدٌ إِلاَّ أَخْلَفَ بِيَدِهِ إِلٰی کُـلَابِهِ(3) يَبْتَغِي الْمَائَ فِي شَنَّةٍ، فَلَمْ يَجِدْ أَحَدٌ مِنْهُمْ قَطْرَةً، فَقَالَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: نَاوِلِيْنِي أَحَدَهُمَا، فَنَاوَلَتْهُ يَاهُ مِنْ تَحْتِ الْخِدْرِ، فَرَأَيْتُ بَيَاضَ ذِرَاعَيْهَا حِيْنَ نَاوَلَتْهُ، فَأَخَذَهُ فَضَمَّهُ إِلٰی صَدْرِهِ وَهُوَ يَطْغُوْ(4) مَا يَسْکُتُ، فَأَدْلَعَ لَهُ لِسَانَهُ فَجَعَلَ يَمُصُّهُ حَتّٰی هَدَأَ أَوْ سَکَنَ، فَلَمْ أَسْمَعْ لَهُ بُـکَائً ا، وَالْآخَرُ يَبْکِي کَمَا هُوْ مَا يَسْکُتُ، فَقَالَ: نَاوِلِيْنِي الْآخَرَ، فَنَاوَلَتْهُ يَاهُ فَفَعَلَ بِهِ کَذٰلِکَ، فَسَکَتَا فَمَا أَسْمَعُ لَهُمَا صَوْتًا. ثُمَّ قَالَ: سِيْرُوْا فَصَدَعْنَا يَمِيْنًا وَشِمَالًا عَنِ الظَّعَائِنِ حَتّٰی لَقِيْنَاهُ عَلٰی قَارِعَةِ الطَّرِيْقِ(5)، فَأَنَا لَا أُحِبُّ هٰذَيْنِ وَقَدْ رَأَيْتُ هٰذَا مِنْ رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم .

رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ وَالآجُرِّيُّ. وَقَالَ الْهَيْثَمِيُّ: وَرِجَالُهُ ثِقَاتٌ.

١. الشن والشنة: القربة الصغيرة البالية من جلد أو غيره، يکون الماء فيها أبرد من غيرها.

٢. الابتغاء: الطلب والالتماس.

٣. الکُلاب والکلّوب والکَلْب: حديدة معوجة الرأس. والمراد: المسمار الذي علی رأس الرحل يعلق عليه الراکب السطحية. (لسان العرب مادة: ک ل ب)

٤. يطغو: (عند الآجري: يضغو) يصيح. وفي النهاية يقال: ضغا يضغو ضغوًا وضغاءً: إذا صاح وضج.

٥. قارعة الطريق: هي وسطه وقيل: أعلاه.

29.          Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke āzād kardā ġhulām Isḥāq bin Abī Ḥabībah, Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu se riwāyat karte haiṅ ki Marwān bin Ḥakam Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu ke maraz̤e wisāl meṅ un ke pās āyā. Marwān ne Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu se kahā: jab se hamārī dostī aur mail mulāqāt hai mujhe āp par kisī muʻāmale meṅ itnā ġhuṣṣā nahīṅ āyā jitnā āp kī Ḥasan aur Ḥusayn (raḍiya Allāhu ‘anhumā) ke li’e maḥabbat par ātā hai. Rāwī bayān karte haiṅ ki (yeh sun kar) Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu ut̥h ke bait̥h ga’e. Phir farmāyā: maiṅ ḳhẉud gawāh hūṅ ki ham Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāth safar par rawānā hū’e, ham rāste meṅ jā rahe the ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥasan aur Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā donoṅ ke rone kī āwāz sunī aur woh donoṅ apnī wālidā mājidā (Sayyidah Fāṭīmah) ke sāth the. Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam tez chalte hū’e un ke pās pahonch ga’e. (Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu kĕhte haiṅ ki) Maiṅ ne āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko Sayyidah Fāṭimah se yeh farmāte hū’e sunā: mere bet̥oṅ ko kyā hūā? Unhone ʻarz̤ kiyā: inheṅ saḳht pyās lagī hai. Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam pānī lene ke li’e pahonche mashkīze kī ṭaraf ga’e. Un dinoṅ pānī kī saḳht qillat thī aur logoṅ ko pānī kī shadīd z̤arūrat thi. Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne āwāz dī: kyā kisī ke pās pānī maujūd hai? Har ek ne kajāwoṅ se lat̥akte hū’e mashkīzoṅ meṅ pānī dekhā magar un meṅ se kisī ek ko bhī qaṭrā tak na milā. Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Sayyidah Fāṭimah se farmāyā: ek bachchā mujhe do unhone ek ko parde ke nīche se pakr̥āyā. Maiṅ ne un kī mubārak kalā’iyoṅ kī safedī ko dekhā jab unhone shĕhzāde ko parde ke nīche se pakr̥āyā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne use pakar̥ kar apne sīne se lagā liyā magar woh saḳht pyās kī waj·h se musalsal ro rahā thā aur ḳhāmosh nahīṅ ho rahā thā. Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne us ke munh meṅ apnī zabān mubārak d̥āl dī bachchā use chūsne lagā yahāṅ tak ki serābī ke baʻd pur-sukūn ho gayā. Maiṅ ne phir us ke rone kī āwāz na sunī, jab ki dūsrā bhī usī ṭarḥ musalsal ro rahā thā, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: dūsrā bhī mujhe de do. Sayyidā-e kā’enāt ne dūsre bachche ko bhī āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke ḥawāle kar diyā. Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne us ke sāth bhī wohī muʻāmalā kiyā (yaʻnī zabān mubārak us ke munh meṅ d̥ālī), woh donoṅ (serāb ho kar) aise ḳhamosh hū’e ki maiṅ ne do bārā un ke rone kī āwāz na sunī. Phir āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: chalo, to ham ḳhawātīn ke dā’eṅ aur bā’eṅ jānib bikhar ga’e yahāṅ tak ki ham ne wasṭ rāh meṅ āp ko ā liyā, lihāzā maiṅ un donoṅ (shĕhzādoṅ) se yūṅ hī maḥabbat nahīṅ kartā balki maiṅ ne Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko aisā karte dekhā hai. (yaʻnī Ḥasanayn Karīmayn se maḥabbat dīn meṅ sunnate mu’akkadā kā darjā iḳhtiyār kar chukī hai.)

          Ise Imām‎ Ṭabarānī aur Ājurrī ne riwāyat kiyā hai. Imām‎ Hayt̲h̲amī ne farmāyā: is ke rijāl s̲iqah haiṅ.

[Aḳhrajahu al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 03/50, al-raqm/2656,

Ājurrī fī Kitāb al-sharʻīyah, 05/2152-2153, al-raqm/1640,

Wa-d̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/180-181,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/221-222,

Mizzī fī Tad̲h̲īb al-kamāl, 06/231,

Ibn‎ Ḥajar ʻAsqalānī fī Tahd̲h̲īb al-tahd̲h̲īb, 02/258,

Wa-d̲h̲akarahu al-Suyūṭī fī al-Ḳhaṣā’iṣ al-kubrá, 01/106,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/57_60, al-raqm/29.]