Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 30

٣٠.          عَنْ يَعْلَی بْنِ مُرَّةَ رضي الله عنه: أَنَّ حَسَنًا وَحُسَيْنًا أَقْبَـلَا يَمْشِيَانِ إِلٰی رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم، فَلَمَّا جَائَ أَحَدُهُمَا جَعَلَ يَدَهُ فِي عُنُقِهِ، ثُمَّ جَاءَ الْآخَرُ فَجَعَلَ يَدَهُ الْأُخْرٰی فِي عُنُقِهِ، فَقَبَّلَ هٰذَا، ثُمَّ قَبَّلَ هٰذَا، ثُمَّ قَالَ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا، أَيُهَا النَّاسُ، إِنَّ الْوَلَدَ مَبْخَلَةٌ مَجْبَنَةٌ.

رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ وَعَبْدُ الرَّزَّاقِ وَالْبَيْهَقِيُّ وَالْقُضَاعِيُّ.

30.          Ḥaz̤rat Yaʻlá bin Murrah raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai: Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn chalte hū’e Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī ṭaraf ā’e, jab un meṅ se ek pahonchā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne apnā bāzū mubārak us ke gale meṅ d̥ālā, phir dūsrā pahonchā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne apnā dūsrā bāzū mubārak us ke gale meṅ d̥ālā. Baʻd azāṅ ek ko chūmā aur phir dūsre ko chūmā aur farmāyā: ae Allāh! Maiṅ in se maḥabbat kartā hūṅ tū bhī in se maḥabbat farmā. Ae logo! Be shak aulād buḳhl aur buzdilī (ke asbāb meṅ se ek) hai.

          Ise Imām‎ Ṭabarānī, ʻAbd al-Razzāq, Bayhaqī aur Quḍāʻī ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 03/32, al-raqm/2587,

Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 22/274, al-raqm/703,

ʻAbd al-Razzāq fī al-Muṣannaf, 11/140, al-raqm/201433,

Bayhaqī fi al-Asmā’ wa-al-ṣifāt, 02/389, al-raqm/965,

Qudāʻī fī al-Musnad al-Shihāb, 01/50, al-raqm/26,

Wa-d̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 10/54,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/60-61, al-raqm/30.]