٣٦. عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه، قَالَ: وَقَفَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم عَلٰی بَيْتِ فَاطِمَةَ فَسَلَّمَ، فَخَرَجَ إِلَيْهِ الْحَسَنُ أَوِ الْحُسَيْنُ، فَقَالَ لَهُ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: اِرْقَ بِأَبِيْکَ أَنْتَ عَيْنُ بَقَّةٍ. وَأَخَذَ بِأُصْبُعَيْهِ، فَرَقٰی عَلٰی عَاتِقِهِ، ثُمَّ خَرَجَ الْآخَرُ الْحَسَنُ أَوِ الْحُسَيْنُ مُرْتَفِعَةً إِحْدٰی عَيْنَيْهِ، فَقَالَ لَهُ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: مَرْحَبًا بِکَ، اِرْقَ بِأَبِيْکَ أَنْتَ عَيْنُ الْبَقَّةِ، وَأَخَذَ بِأُصْبُعَيْهِ فَاسْتَوٰی عَلٰی عَاتِقِهِ الآخَرِ، وَأَخَذَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم بِأَقْفِيَتِهِمَا حَتّٰی وَضَعَ أَفْوَاهَهُمَا عَلٰی فِيْهِ، ثُمَّ قَالَ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُمَا.
رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ.
36. Ḥaz̤rat Abū Hurayrah raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai, unhone bayān kiyā: ek dafʻā Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Sayyidah Fāṭimah raḍiya Allāhu ‘anhā ke ghar ke sāmne ruk kar unheṅ salām kiyā. Itne meṅ Ḥaz̤rat Ḥasan yā Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā (donoṅ meṅ se) ek shĕhzādā ghar se bāhar nikal āyā to Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne us se farmāyā: apne bāp ke kandhe par sawār ho jā’o tum to (merī) ānkh kā tārā ho aur use ungliyāṅ pakr̥ā kar apne kandhe mubārak par sawār kar liyā. Phir Ḥasan yā Ḥusayn meṅ se duṣrā shĕhzādā āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī ṭaraf tirc̥hī ānkhoṅ se taktā hūā bāhar nikal āyā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne use bhī farmāyā: khūsh āmadīd, apne bāp ke kandhe par sawār ho jā’o tum (bhī merī) ānkh kā tārā ho. Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne use ungliyāṅ pakr̥ā kar dūsre kāndhe par sawār kar liyā aur Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ un kī gardanoṅ se pakr̥ā yahāṅ tak ki un donoṅ ke munh ko apne munh mubārak par rakh diyā, aur phir farmāyā: ae Allāh! Maiṅ in se maḥabbat kartā hūṅ tū bhī in se maḥabbat farmā aur us se bhī maḥabbat farmā jo in se maḥabbat kartā hai.
Ise Imām Ṭabarānī ne riwāyat kiyā hai.
–
[Aḳhrajahu al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-kabīr, 03/49, al-raqm/2652,
Wa-d̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/180,
Hindī fī Kanz al-ʻummāl, 13/286, al-raqm/37700,
Suyūṭī fī Jamiʻ al-aḥadīt̲h̲, 34/374, al-raqm/37533,
Ṣāliḥī Shāmī fī Subul al-hudá wa-al-rashād, 07/117,
Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/68_70, al-raqm/36.]