Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 37

٣٧.          عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ عليهما السلام، قَالَ: جَائَ الْعَبَّاسُ يَعُوْدُ النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم فِي مَرَضِهِ، فَرَفَعَهُ فَأَجْلَسَهُ فِي مَجْلِسِهِ عَلَی السَّرِيْرِ، فَقَالَ لَهُ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: رَفَعَکَ اﷲُ يَا عَمِّ۔ فَقَالَ الْعَبَّاسُ: هٰذَا عَلِيٌّ يَسْتَأْذِنُ. فَقَالَ: يَدْخُلُ فَدَخَلَ وَمَعَهُ الْحَسَنُ وَالْحُسَيْنُ، فَقَالَ الْعَبَّاسُ: هٰؤُلَائِ وَلَدُکَ يَا رَسُوْلَ اﷲِ. قَالَ: وَهُمْ وَلَدُکَ يَا عَمِّ. قَالَ: أَتُحِبُّهُمْ؟ فَقَالَ: أَحَبَّکَ اﷲُ کَمَا أُحِبُّهُمْ.

رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ وَابْنُ عَسَاکِرَ وَالْهَيْثَمِيُّ.

37.          Ḥaz̤rat (ʻAbd Allāh) bin ʻAbbās raḍiya Allāhu ‘anhumā ne bayān farmāyā: Ḥaz̤rat ʻAbbās Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī bīmārī meṅ āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī ʻiyādat ke li’e ā’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko ut̥hāyā aur palang par āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī masnad par bit̥hāyā, to Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne un se farmāyā: ae mere chachā jān! Allāh Taʻālá āp ke darajāt buland farmā’e, to Ḥaz̤rat ʻAbbās ne ʻarz̤ kiyā: yeh Ḥaz̤rat ʻAlī haiṅ, āp se ijāzat māng rahe haiṅ. āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: dāḳhil ho jā’e, to woh dāḳhil ho ga’e aur un ke sāth Ḥaz̤rat Ḥasan aur Ḥaz̤rat Ḥusayn bhī the, to Ḥaz̤rat ʻAbbās raḍiya Allāhu ‘anhu ne farmāyā: yā Rasūl Allāh! Yeh āp ke bachche haiṅ, āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: ae mere chachā jān! Yeh āp ke bhī bachche haiṅ. Unhone ʻarz̤ kiyā: (yā Rasūl Allāh!) Kyā āp in se maḥabbat karte haiṅ? Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: (ae chachā jān!) Allāh Taʻālá āp se maḥabbat farmā’e jaise maiṅ in se maḥabbat kartā hūṅ.

    Ise Imām‎ Ṭabarānī, Ibn‎ ʻAsākir aur Hayt̲h̲amī ne riwāyat kiyā hai.

[Aḳhrajahu al-Ṭabarānī fī al-Muʻjam fī al-awsaṭ, 03/217, al-raqm/2962,

Ṭabarānī fī al-Muʻjam al-ṣaġhīr, 01/159, al-raqm/246,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/196,

Ibn‎ ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 14/157,

Wa-d̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/173,

Hindī fī Kanz al-ʻummāl, 13/288, al-raqm/37711,

Muḥibb al-Ṭabarī fī D̲h̲aḳhā’ir al-ʻuqbá/121,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/70-71, al-raqm/37.]