٣٨. عَنْ عَلِيٍّ رضي الله عنه قَالَ: أَخْبَرَنِي رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم: أَنَّ أَوَّلَ مَنْ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ أَنَا وَفَاطِمَهُ وَالْحَسَنُ وَالْحُسَيْنُ. قُلْتُ: يَا رَسُوْلَ اﷲِ، فَمُحِبُّوْنَا؟ قَالَ: مِنْ وَرَائِکُمْ.
رَوَاهُ الْحَاکِمُ وَابْنُ عَسَاکِرَ وَالْهَيْتَمِيُّ۔ وَقَالَ الْحَاکِمُ: صَحِيْحُ الإِسْنَادِ.
38. Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu se marwī hai: unhone bayān farmāyā: Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne mujhe ḳhabar dī ki sab se pĕhle jannat meṅ dāḳhil hone wāloṅ meṅ se, maiṅ (yaʻnī Ḥaz̤rat ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhu ḳhẉud), Fāṭimah, Ḥasan aur Ḥusayn haiṅ. Maiṅ ne ʻarz̤ kiyā: yā Rasūl Allāh! Aur ham se maḥabbat karne wāle (kahāṅ honge)? Āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: tumhāre pīc̥he pīc̥he (dāḳhil honge).
Ise Imām Ḥākim, Ibn ʻAsākir aur Ibn Ḥajar Haytamī ne riwāyat kiyā hai. Imām Ḥākim ne farmāyā: is ḥadīs̲ kī isnād ṣaḥīḥ haiṅ.
–
[Aḳhrajahu al-Ḥākim fī al-Mustadrak, bāb d̲h̲ikr manāqib fāṭimah bint Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam, 03/164, al-raqm/4723,
Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 14/169,
Wa-d̲h̲akarahu Ibn Ḥajar Haytamī fī al-Ṣawāʻiq al-muḥriqah, 02/448,
Muḥibb al-Ṭabarī fī D̲h̲aḳhā’ir al-ʻuqbá/123,
Hindī fī Kanz al-ʻummāl, 13/275, al-raqm/37617,
Suyūṭī fī Jamiʻ al-aḥadīt̲h̲, 29/272, al-raqm/32128,
Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/72, al-raqm/38.]