Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 19

١٩.          عَنْ عَطَائٍ: أَنَّ رَجُـلًا أَخْبَرَهُ أَنَّهُ رَأَی النَّبِيَّ صلی الله عليه وآله وسلم يَضُمُّ إِلَيْهِ حَسَنًا وَحُسَيْنًا يَقُوْلُ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُمَا فَأَحِبَّهُمَا

رَوَاهُ أَحْمَدُ، وَقَالَ الْهَيْثَمِيُّ: رَوَاهُ أَحْمَدُ وَرِجَالُهُ رِجَالُ الصَّحِيْحِ.

19.          Ḥaz̤rat ʻAṭā’ se maarwī hai ki be shak (ṣaḥābī) shaḳhṣ ne unheṅ ḳhabar dī ki us ne Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ko dekhā ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥasan aur Ḥusayn ko apne sāth lagāyā aur farmāyā: ae Allāh! Maiṅ in donoṅ se maḥabbat kartā hūṅ pas tū bhī in donoṅ se maḥabbat farmā.

          Ise Imām‎ Aḥmad ne riwāyat kiyā hai. Imām‎ Hayt̲h̲amī ne farmāyā: ise Imām‎ Aḥmad ne riwāyat kiyā hai aur is ḥadīs̲ ke rijāl ṣaḥīḥ ke rijāl haiṅ.

[Aḳhrajahu al-Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 05/369, al-raqm/23182,

Wa-d̲h̲akarahu al-Hayt̲h̲amī fī Majmaʻ al-zawā’id, 09/179,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/47-48, al-raqm/19.]