Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Ḥarfe āġhāz

Ḥarfe āġhāz

          Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī z̲āte aqdas ummate muslimā ke īmān kā markaz-o-mĕḥwar hai. Ummat ke is taʻalluq aur nisbat ko kamzor karne ke li’e waqtan fa-waqtan muḳhtalif fitne sar ut̥hāte rahe ḥaiṅ jin meṅ se ek nihāyat ḳhaṭarnāk fitnā-e Ḳhārjīyat hai. Ḳhawārij ne Ahle Sunnat ke ʻaqā’id ko parāgandā karne aur un ke diloṅ se ḥubbe Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam aur ḥubbe Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām nikālne ke li’e ko’ī kasar nahīṅ ut̥hā rakhkhī. Ek sāzish ke tĕḥt z̲ikre Ahle Bayt aur z̲ikre Ḥasanayn Karīmayn ʻalayhimā al-salām ko ṣirf Ahle Tashayyuʻ ke khāte meṅ d̥āl diyā gayā. Dar-ḥaqīqat Ahle Sunnat wa-jamāʻat kā tashaḳḳhuṣ aur shewā-e īmān hī ḥubbe Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām aur ḥubbe Ṣaḥābā-e kirām riḍwānu Allāhi ‘alayhim ajma‘īn ko ek jagah jamʻa karnā thā. Jaise Imām‎ Ḥusayn bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā se marwī hai: har shai kī ek bunyād hotī hai aur islām kī bunyād Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke ṣaḥābā-e kirām riḍwānu Allāhi ‘alayhim ajma‘īn kī maḥabbat aur āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām kī maḥabbat hai. (Kanz al-ʻummāl)

          Isī ṭarḥ Ḥasanayn Karīmayn ʻalayhimā al-salām ke li’e Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: jis ne Ḥasan aur Ḥusayn se maḥabbat kī, us ne dar-ḥaqīqat mujh se maḥabbat kī aur jis ne in donoṅ se buġhz̤ rakhkhā us ne mujh se buġhz̤ rakhkhā. (Musnad Aḥmad, Sunan Ibn‎ Mājah‎)

          Isī ṭarḥ kas̲īr riwāyāt meṅ Ahle Bayte aṭhār ʻalayhim al-salām se bil-ʻumūm aur Ḥasanayn Karīmayn ʻalayhimā al-salām se bil-ḳhuṣūṣ maḥabbat kā z̲ikr miltā hai. Yehī aṣl ʻaqīdā-e Ahle Sunnat wa-jamāʻat aur woh shaḳhṣ Ahle Sunnat wa-jamāʻat nahīṅ hai jis kā dil in nufūse Qudsīyah kī maḥabbat-o-mawaddat se ḳhālī hai balki woh jān le ki us ke andar Ḳhārjīyat ne d̥erā d̥āl rakhkhā hai.

          Safīre amn-o-maḥabbat Shaykh al-islam Doctor Muḥammad Ṭāhir al-Qādrī madda ẓillūhu al-ʻĀlī aur tĕḥrīke Minhāj al-Qur’ān‎ kā maqṣad inhī maḥabbatoṅ ko faroġh dunyā aur ummat ko gumrāh karne wāle shaitānī fitnoṅ kā qilʻa qamaʻ karnā hai. Zere naẓar Kitāb bhī Sayyidinā Imām‎ Ḥasan ʻalayh al-salām aur Sayyidinā Imām‎ Ḥusayn ʻalayh al-salām se maḥabbat ke bayān par mushtamil chālis aḥādīs̲ kā majmūʻā hai.

          Allāh Taʻālá se duʻā hai ki dunyā wa āḳhirat meṅ hameṅ apnī maḥabbat, apne Rasūl ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam kī maḥabbat, Ahle Bayte aṭhār, Ṣaḥābā-e kirām aur auliyā’-e ṣāleḥīn riḍwānu Allāhi ‘alayhim ajma‘īn kī maḥabbat par jamʻa rakhkhe. (āmīb bijāhi Sayyid al-mursalīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam)

(Ḥāfiẓ Ẓahīr Aḥmad al-Isnādī)

Research Scholar

Farīde Millat Research Institute