Posted in Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām

Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām: 03

٣.          عَنْ نَافِعِ بْنِ جُبَيْرٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضی الله عنه قَالَ: کُنْتُ مَعَ رَسُوْلِ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم فِي سُوْقٍ مِنْ أَسْوَاقِ الْمَدِيْنَةِ، فَانْصَرَفَ فَانْصَرَفْتُ، فَقَالَ: أَيْنَ لُکَعُ – ثَـلَاثًا – ادْعُ الْحَسَنَ بْنَ عَلِيٍّ. فَقَامَ الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ يَمْشِي وَفِي عُنُقِهِ السِّخَابُ، فَقَالَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم بِيَدِهِ هٰکَذَا، فَقَالَ الْحَسَنُ بِيَدِهِ هٰکَذَا، فَالْتَزَمَهُ فَقَالَ: اللّٰهُمَّ، إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّهُ وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ.

وَقَالَ أَبُوْ هُرَيْرَةَ رضی الله عنه: فَمَا کَانَ أَحَدٌ أَحَبَّ إِلَيَّ مِنَ الْحَسَنِ بْنِ عَلِيٍّ عليهما السلام، بَعْدَ مَا قَالَ رَسُوْلُ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم مَا قَالَ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ.

03.          Ḥaz̤rat Nāfiʻ bin Jubayr se marwī hai, Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu ne farmāyā: maiṅ Madīnah munawwarah ke bāzāroṅ meṅ se ek bāzār meṅ Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāth thā. Jab āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam wāpas laut̥e aur maiṅ bhī (āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ke sāth) wāpas laut̥ā to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne farmāyā: nannhā munnā kahāṅ hai? yeh kalimāt tīn martabā dŏhrā’e ki Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā ko bulā’o chunānche Ḥasan bin ʻAlī khar̥e hū’e aur chal par̥e aur un kī gardan meṅ Siḳhāb (ek qism kā hār) thā. (unheṅ dekh kar) Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne apne bāzū mubārak is ṭarḥ phailā dī’e to āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne unheṅ apne sīnā-e mubārak se lagā kar farmāyā: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat kartā hūṅ, tū bhī is se maḥabbat farmā aur us se bhī maḥabbat farmā jo is se maḥabbat kartā hai.

          Ḥaz̤rat Abū Hurayrah‎‎ raḍiya Allāhu ‘anhu farmāte haiṅ ki us waqt se Ḥasan bin ʻAlī raḍiya Allāhu ‘anhumā se bar̥h kar ko’ī aur mujhe pyārā nahīṅ hai jab se Rasūl Allāh ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne un ke mutaʻalliq yeh irshād farmāyā tha.

          Ise Imām‎ Buḳhārī ne riwāyat kiyā haī.

[Aḳhrajahu al-Buḳhārī fī al-Ṣaḥīḥ, Kitāb al-libās, bāb al-siḳhāb lil-ṣibyān, 05/2207, al-raqm/5545,

Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/09_11, al-raqm/03.]