٥. عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه، عَنِ النَّبِيِّ صلی الله عليه وآله وسلم، أَنَّهُ قَالَ لِحَسَنٍ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ، فَأَحِبَّهُ وَأَحْبِبْ مَنْ يُحِبُّهُ.
رَوَاهُ مُسْلِمٌ وَأَحْمَدُ وَابْنُ مَاجَه وَلَفْظُهُ: قَالَ النَّبِيُّ صلی الله عليه وآله وسلم لِلْحَسَنِ: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أُحِبُّهُ فَأَحِبَّهُ وَأَحِبَّ مَنْ يُحِبُّهُ، قَالَ: وَضَمَّهُ إِلٰی صَدْرِهِ.
05. Ḥaz̤rat Abū Hurayrah raḍiya Allāhu ‘anhu, Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam se riwāyat karte haiṅ: be shak āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ke bāre meṅ farmāyā: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat kartā hūṅ, tū bhī is se maḥabbat farmā aur jo is se maḥabbat rakhkhe us se bhī maḥabbat farmā.
Ise Imām Muslim, Aḥmad aur Ibn Mājah ne riwāyat kiyā hai. Ibn Mājah ke alfāẓ yeh haiṅ: Ḥuz̤ūr Nabīye Akram ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan ke li’e (Allāh Taʻālá kī bārgāh meṅ) ʻarz̤ kiyā: ae Allāh! Maiṅ is se maḥabbat rakhtā hūṅ tū bhī is se maḥabbat rakhkh aur jo is se maḥabbat rakhkhe us se bhī maḥabbat farmā. Rāwī kĕhte haīṅ ki āp ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam ne Ḥaz̤rat Ḥasan raḍiya Allāhu ‘anhu ko apne sīne se laġā liyā.
–
[Aḳhrajahu al-Muslim Fi al- Ṣaḥīḥ, Kitāb faḍā’il al-ṣaḥābah raḍiya Allāhu ‘anhum, bāb faḍā’il al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn raḍiya Allāhu ‘anhumā, 04/1882, al-raqm/2421,
Aḥmad bin Ḥanbal fī al-Musnad, 02/249, al-raqm/7392,
Ibn Mājah fī al-Sunan, al-muqaddimah, bāb faḍl al-Ḥasan wa-al-Ḥusayn abanī ʻAlī bin abī ṭālib raḍiya Allāhu ‘anhu, 01/51, al-raqm/142,
Bayhaqī fī al-Sunan al-kubrá, 10/223, al-raqm/20862,
Ibn ʻAsākir fī Tārīḳh madīnaṫ Dimashq, 13/189,
Ṭahir al-Qādrī fī Hady al-t̲h̲aqalayn fī ḥubb al-Ḥasanayn ʻalayhimā al-salām/11-12, al-raqm/05.]