41. “Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Riwaayat Kiya Hai Ki Jab Walid Bin Abd-il-Malik Ke Zamaane Me (Hujra’e Mubarak Kee) Deewaar Un (Logo’n) Par Giri To Ek Qadam Zaahir Huwa. Log Dar Ga’e Aur Samjhe Ki Shaayad Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qadam Mubarak Hai. Unhen Pehchaan Ne Waala Koi Na Mila Yaha’n Tak Ki Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Pehchaan Liya Aur) Kaha: Khuda Kee Qasam, Yeh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Qadam Mubarak Nahin Balki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Qadam Hai.”
Ise Imam Bukhari Aur Ibn Sa’d Ne Riwayat Kiya Hai.
۞ “Mulla Ali Qari Ne Apni Kitaab “Jam’a Al-Wasa’il Fi Sharh Al-Masha’il” Me Farmaya: Be Shak Kisi Ne Yeh Nahin Kaha Ki Un Kee Qabren Un Ke Jismo’n Se Khaali Hain Aur Un Kee Arwaah Ka Un Ke Ajsaam Se Koi Ta’alluq Nahin Aur Jo Koi Un Par Salaam Pesh Karta Hai Woh Use Nahin Sunte. To Aisa Hee Ambiya’ Ke Baare Me Aaya Hai Ki Be Shak Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Talbiyah Kehte Hain Aur Hajj Karte Hain, Aur Hamaare Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Liye To Yeh Karaamaat Badarja’e Awla Saabit Hain.”(01)
۞ “Aur Imam Qustalani Ne “Al-Mawahib” Me Famaya: Be Shak Yeh Saabit Ho Chuka Hai Ki Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Hajj Karte Hain Aur Talbiyah Kehte Hain. Agar Yeh Kaha Jaae Ki Woh Wafaat Paa Chuke Hain Aur Ukhrawi Ghar Me Hain Na Ki Daar-il-Amal Me To Is Baat Ka Jawaab Yeh Hai Ki Un Ka Haal Shohada’ Kee Tarah Balki Un Se Bhi Afzal Hai. Jab Shohda’a Apne Rabb Ke Haa’n Zinda Hain Aur Unhen (Un Kee Shaan Ke Laa’iq) Rizq Diya Jaata Hai, To Agar Ambiya’e Kiram ‘Alayhim-us-Salam Hajj Karen Aur Namaaz Padhen To Us Me Kya Ba’iyd Hai!”(02)
۞ “Allama Muhammad Anwar Shah Kashmiri ne Kaha: Jaan Lo! Hum Pehle Hayaat’e Ambiya’ Aur Hayaate Shohada’ Ke Muta’alliq Bahth Kar Chuke Hain, Jis Ka Maa Haasil Yeh Hai Ki Un Ke Zinda Hone Ka Matlab Yeh Hai Ki Woh Zindo’n Jaise Af’aal Baja Laate Hain, Aur Reh Ga’i’n Arwaah, Woh To Tamaam Kee Tamaam (Barzakh Me) Zinda Hain Agarche Woh Kaafiro’n Kee Arwaah Hee Kyun Na Ho’n.”(03)
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/468, Raqm-1326,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 03/368,
(01) Dhakarahu Al-Mulla ‘Ali Al-Qari Fi Jam’a Al-Wasa’il Fi Sharh Al-Shama’il, 02/300,
(02) Dhakarahu Qastallani Fi Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 02/695,
Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 07/365_366,
(03) Dhakarahu Anwar Shah Al-Kashmiri Fi Fayd Al-Bari, 03/425,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/67_69Raqam-41.]
۞ ۞ ۞