18. “Hazrat Aboo Humayd Al-Sa’iydi Ya Aboo Usayd Al-Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Daakhil Ho To Use Chaahiye Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaam Bheje Phir Kahe: Aye Allah! Mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De Aur Jab Masjid Se Baahar Nikle To Kahe: Aye Allah! Main Tujh Se Tera Fadl Maangta Hoo’n.”
Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Ibn Majah Aur Darimi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Aboo Hatim Razi Ne Bayaan Kiya Ki Imam Aboo Zur’ah Ne Farmaya: Hazrat Aboo Humayd Aur Aboo Usayd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Se Marwi Riwayat Sahih Tar Hoti Hain. Aur Imam Munawi Ne Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Daakhil Ho To Use Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Salaam Ko Mahboob, Zaroori Aur Laazim Samajhte Huwe Arz Karna Chaahiye Kyun Ki Masaajid Zikr Kar Ne Kee Jagah Hain Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Salam Arz Karna Bhi Zikre Ilaahi Hee Hai.
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/126, Raqm-465,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/254, Raqm-772,
Darimi Fi As-Sunan, 01/377, Raqm-1394,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/397, Raqm-2048,
Razi Fi ‘Ilal Al-Hadith, 01/178, Raqm-509,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/38, 39, Raqm-18.]