21. “Hazrat Muhammad Bin Abd-ir-Rahman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Salam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jab Kabhi Masjid Me Daakhil Hote They, To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaam Bhejte Aur Phir Kehte: “اَللّٰهُمَّ افْتَحْ لِي أَبْوَابَ رَحْمَتِکَ” (Aye Allah! Mujh Par Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De) Aur Jab Masjid Se Baahar Nikalte To Tab Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaam Bhejte Aur Phir Shaytaan Mardood Se Panaah Maangte (Un Ka Yeh Amal Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubaarak Ke Baa’d Hamesha Huwa Karta Tha).”
Is Hadith Ko Imam Ibn Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqm-3416,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/44, 45, Raqm-21.]