23. “Ek Riwaayat Me Hazrat Ibrahim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Marwi Hai Ki Jab Woh Masjid Me Daakhil Hote To Kehte: “بِسْمِ اﷲِ وَالصَّـلَاةُ عَلٰی رَسُوْلِ اﷲِ” (Allah Ta’ala Ke Naam Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejne Ke Saath (Main Is Masjid Me Daakhil Hota Hoo’n). Aur Jab Kisi Aise Ghar Me Daakhil Hote Jis Me Koi Bhi Na Hota To Kehte: “اَلسَّلَامُ عَلَيْکُمْ” (Aap Par Salaamati Ho).”
Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqm-3418,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/44_46, Raqm-23.]