26. “Ek Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Paas Baithe Kisi Shakhs Kee Taang Sun Ho Ga’i To Unhone Us Shakhs Se Farmaya: Logo’n Me Se Jo Tumhen Sab Se Ziyaada Mahboob Hai, Us Ka Zikr Karo, To Us Shakhs Ne Ya Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ka Na’ra Lagaaya To Usi Waqt Us Ke Paao’n Ka Sun Hona Jaata Raha.”
Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqm-964,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqm-2539,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,
Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqm-170,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/47, 48, Raqm-26.]