28. “Hazrat Aboo Umamah Bin Sahl Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Chacha Hazrat Uthman Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Karte Hain Ki Ek Shakhs Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Kisi Zaroorat Se Aata Raha Lekin Hazrat Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Mutawajjeh Na Hote They Aur Us Kee Haajat Par Ghaur Na Farmaate They. Woh Shakhs (Uthman) Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mila Aur Un Se Apne Mas’ala Kee Baabat Shikaayat Kee. Uthman Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Us Se Kaha: Lota Laao Aur Wuzoo Karo, Us Ke Baa’d Masjid Me Aa Kar Do Rak’at Namaaz Padho, Phir(Yeh Du’aa) Padho: Aye Allah! Main Aap Se Sawaal Karta Hoo’n Aur Aap Kee Taraf Apne Nabi Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Nabiyye Rahmat Ke Waseele Se Mutawajjeh Hota Hoo’n, Ya Muhammad! Main Aap Ke Waseele Se Apne Rabb Kee Taraf Mutawajjeh Hota Hoo’n Ki Woh Meri Yeh Haajat Poori Farma De. Aur Phir Apni Haajat Ko Yaad Karo. (Aur Yeh Du’aa Padh Kar Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Jaao) Yaha’n Tak Ki Main Bhi Tumhaare Saath Aa Jaa’un. Pas Woh Aadami Gaya Aur Us Ne Wahi Kiya Jo Use Kaha Gaya Tha. Phir Woh Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Darwaaze Par Aaya To Darbaan Ne Us Ka Haath Thaama Aur Hazrat Uthmaan Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Le Gaya. Hazrat Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Use Apne Paas Chataa’i Par Bithaaya Aur Puchha: Teri Kya Haajat Hai? To Us Ne Apni Haajat Bayaan Kee Aur Unhone Use Pura Kar Diya. Phir Unhone Us Se Kaha: Too Ne Apni Is Haajat Ke Baare Me Aaj Tak Bataaya Kyun Nahin? Aa’inda Tumhaari Jo Bhi Zaroorat Ho Mujhe Bayaan Karo. Phir Woh Aadami Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Se Chala Gaya Aur Hazrat Uthman Bin Hunayf Se Mila Aur Un Se Kaha: Allah Ta’ala Aap Ko Jaza’e Khayr Ata Farmaae, Agar Aap Mere Mas’ale Ke Baare Me Hazrat Uthman Se Baat Na Karte To Woh Meri Haajat Par Ghaur Karte Na Meri Taraf Mutawajjeh Hote. Hazrat Uthman Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha: Bakhuda Main Ne Un Se Tumhaare Baare Me Baat Nahin Kee. Balki Main Ne Allah Ta’ala Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha Ki Ek Naabina Aadami Aaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Apni Binaa’i Khatm Ho Jaane Ka Shikwa Kiya, SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Se Farmaya: Too Sabr Kar. Us Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mera Koi Khaadimm Nahin Aur Mujhe Bohat Takleef Hoti Hai. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Lota Le Kar Aao Aur Wuzoo Karo (Aur Use Yahi Amal Talqeen Farmaya), Hazrat Ibn Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha: Khuda Kee Qasam! Hum Log Na To Abhi Majlis Se Dur Huwe Aur Na Hee Hamaare Darmiyaan Lambi Guftagu Hu’i, Hatta Ki Woh Aadami Hamaare Paas (Is Haalat Me) Aaya Ki Goya Use Kabhi Andhaapan Tha Hee Nahin.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Ne Farmaya: Yeh Hadith Sahih Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/30, Raqm-8311,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/306, Raqm-508,
Tabarani Fi Ad-Du’a’,/320, Raqm-1050,
Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/167,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/23, 274, Raqm-1018,
Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyarah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah,/125,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/279,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/201,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/49_52, Raqm-28.]