31. “Hazrat Dawud Bin Abi Saalih RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwaayat Karte Hain Ki Ek Roz (Khalifa’e Waqt) Marwaan Aaya Aur Us Ne Dekha Ki Ek Aadami Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar Par Apna Chehra Rakkhe Huwe Khada Hai, To Us Aadami Se Kaha: Kya To Jaanta Hai Ki Kya Kar Raha Hai? Jab Us Shakhs Ne Marwaan Kee Taraf Rukh Kiya To Woh (Sahabi’e Rasool) Hazrat Aboo Ayyoob Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu They, Unhone (Jawaab Me) Farmaya: Haa’n (Main Jaanta Hoo’n Ki) Main RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargahe Aqdas Me Haazir Huwa, Kisi Patthar Ke Paas Nahin Aaya. (Ek Riwaayat Ke Alfaaz Hain, Main Kisi Be His Aur Be Jaan Shai Ke Paas Nahin Aaya.) Main Ne Rasoole Khuda SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmaate Suna: Din Par Mat Row Jab Us Ka Wali Us Ka Ahl Ho, Haa’n Din Par Us Waqt Row Jab Us Ka Wali Naa Ahl Ho.”
Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/422, Raqm-23632,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/560, Raqm-8571,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/158, Raqm-3999,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/94, Raqm-284,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/144, Raqm-9366,
Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 57/249, 250,
Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyarah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah,/113,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,05/245,
Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 06/88, Raqm-14967,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/55, 56, Raqm-31.]