32. “Hazrat Amr Bin Maymoon Awdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Aap Ne Bayan Kiya: Main Dekha Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Bawaqte Wisaal Apne Saahibzaade Se) Farmaya: Aye Abdullah Bin Umar! Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Jaao Aur Arz Karo Ki Umar Bin Khattab Aap Ko Salaam Kehta Hai Aur Arz Karta Hai Ki Mujhe Mere Dono’n Rufaqa’ Ke Sath (Rawza’e Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me) Dafn Hone Kee Ijaazat Dee Jaae. Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Jab Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Khidmat Me Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Yeh Darkhaast Pesh Kee To Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Farmaya: Woh Jaga Main Apne Liye Rakhna Chaahti Thi Lekin Aaj Main Unhen (Ya’ni Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko) Apni Zaat Par Tarjeeh Deti Hoo’n. Jab Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Waapas Ga’e To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Un Se Daryaaft Farmaya: Kya Khabar Laae Ho? Unhone Arz Kiya: Aye Amir Al-Mu’minin! Umm-il-Mu’minin Ne Aap Ke Liye Ijaazat De Dee Hai, To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya: Us (Mutabarrak-o Muqaddas) Maqaam Se Ziyaada Mere Liye (Bataure Aakhiri Aaraamgaah) Koi Jaga Ahm Nahin Thi. So Jab Mera Wisaal Ho Jaae To Mujhe Utha Kar Waha’n Le Jaana Aur Salaam Arz Karna. Phir Arz Karna (Aaqa!) Umar Bin Khattab Ijazaat Chaahta Hai. Agar Mujhe Ijaazat Mil Jaae To Waha’n Dafn Kar Dena Warna Mujhe Aam Musalmano’n Ke Qabristaan Me Le Jaa Kar Dafn Kar Dena.”
Is Hadith Ko Imam Bukhari Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/469, Raqm-1328,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1353_1355, Raqm-3497,
Wa Nahwuhu Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 03/34, Raqm-11858,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/435, Raqm-436, Raqm-37059, 37074,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/56_58, Raqm-32.]