Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 33

33.                  “Hazrat Aaishah Siddiqa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayaan Karti Hain Ki Jab Main Us Hujra Mubarak Me Daakhil Hu’i Jaha’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Mere Waalid(Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Madfoon Hain To Main Parde Ka Kapda Utaar Deti Thi Aur Kehti Thi: Be Shak Waha’n Mere Khaawind Aur Mere Walid Hain (Jin Se Parda Zaroori Nahin Hota) Lekin Jab Waha’n Un Ke Saath Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Madfoon Ho Ga’e To Main Waha’n Hazrat Umar Se Haya’ Kee Khaatir Mukammal Hijaab Me Daakhil Hoti Thi.”

          Is Hadith Ko Imam Ahmad  Aur Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Bukhari Muslim Kee Shart Par Sahih Hai. Aur Imam Haythami Ne Bhi Farmaya: Is Ke Rijaal Sahih Hadith Ke Rijaal Hain. Aur Imam Zarkashi Ne Farmaya: Yeh Hadith Bukhari Wa Muslim Kee Shart Par Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/202, Raqm-25701,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/63, Raqm-4402,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/08, Raqm-6721,

Zarkashi Fi Al-Ijabah Lamma Istadrakat’hu ‘Aishah,/68, Raqm-68,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/26,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/37,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/58, 59, Raqm-33.]