34. “Hazrat Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Aap Ne Bayaan Farmaya: Jab Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Mujhe Apne Sarhaane Bithaaya Aur Farmaya: Aye Ali! Jab Main Faut Ho Jaau’n To Aap Khud Mujhe Apne In Haatho’n Se Ghusl Dena Jin Haatho’n Se Aap Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghusl Diya Tha Aur Mujhe (Bhi Wohi) Khushbu Lagaana Aur (Meri Mayyit) Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Rawza’e Aqdas Ke Paas Le Jaana Agar Tum Dekho Ki (Khud Bakhud) Darwaaza Khol Diya Gaya Hai To Mujhe Waha’n Dafn Kar Dena Warna Waapas Laa Kar Aam Musalmaano’n Ke Qabristaan Me Dafn Kar Dena Us Waqt Tak Jab Allah Ta’ala Apne Bando’n Ke Darmiyaan Faisla Na Farma De (Ya’ni Qiyaamat Na Aa Jaae. Aur Phir Un Kee Khaahish Ke Mutaabiq Hee) Unhen Ghusl Aur(Mutabarrak Khushbu Waala) Kafan Diya Gaya Aur (Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki) Sab Se Pehle Main Ne Rawza’e Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Darwaaze Par Pahonch Kar Ijaazat Talab Kee Aur Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Yeh Aboo Bakr Hain Jo Andar Aane Kee Ijaazat Chaahte Hain? Phir Main Ne Dekha ki Rawza’e Aqdas Ka Darwaza (Khud Bakhud) Khul Gaya Aur Main Ne Suna Ki Koi Kehne Waala Keh Raha Hai. Habib Ko Us Ke Habib Ke Haa’n Daakhil Kar Do. Be Shak Habib Bhi Mulaqate Habib Ke Liye Mushtaaq Hai.”
Ise Imam Ibn Asakir Aur Suyooti Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Asakir Fi Tarikh Madinat Dimashq, 30/436,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/492,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/59_61, Raqm-34.]