35. “Hazrat aboo Is’haq Qurasi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Yaha’n Madinah Munawwarah Me Hamaare Paas Ek Aadami Tha Jab Woh Koi Aisi Buraa’i Dekhta Jise Woh Apne Haath Se Rokne Kee Taaqat Nahin Rakhta Tha To Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar Ke Paas Aata Aur (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Yoo’n) Arz Karta:
“Aye (Sarware Do ‘Aalam) Saahibe Qabr! (Aur Apni Quboor Me Aaraam Farma) Aap Ke Dono’n Rufaqa’! Aur Ayr Hamaare Madadgaar (Aur Hamaare Aqqa-o Mawla) Kaash Aap Hamaari(Haalate Zaar Par) Nazare Karam Farmaen.”
Is Hadith Ko Imam Bayhaqi Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/495, Raqm-4177,
Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/61, 62, Raqm-35.]