Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 37

37.                  “Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hee Riwaayat Hai Aap Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jis Se Rooh-ul-Qudus (Jibra’il) Ne Kalaam Kiya Ho, Zameen Us Ka Jism Nahin Khaaegi.”

          Ise Imam Jahdami, Ibn Al-Qayyim Ne Riwaayat Kiya Hai. Hafiz Ibn Kathir Ne Kaha Hai: Yeh Hadith Mursal Hasan Hai.

                   “Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hee Riwaayat Hai Aap Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jis Se Rooh-ul-Qudus Ne Kalaam Kiya Ho, Zameen Ko Us Ka Gosht Khaane Kee Ijaazat Nahin Dee Ga’i.”

          Ise Imam Maqrizi Aur Suyooti Ne Riwaayat Kiya Hai.

۞               “Allama Shurunbulali Ne Apni Kitab “Noor-ul-Iydah” Me Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ziyaarat Kee Fasl Qaa’im Kee Hai Jis Me Unhone Farmaya: Muhaqqiqin Ke Nazdeek Yeh Amr Tai Shudah Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hayaat Hain, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shaan Ke Laa’iq) Rizq Diya Jaata Hai Aur Aap Jumla Halaawato’n Aur Ibaadaat Se Mustafeed Hote Hain. Farq Sirf Yrh Hai Un Logo’n Kee Nigaaho’n Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ojhal Hain Jo Maqaamaate Aaliya Se Qaasir Hain.”(01)

[Jahdami Fi Fadl Al-Salat ‘Ala An-Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/38, Raqm-23,

Ibn Qayyim Fi Jala’ Al-Afham Fi Al-Salat Wa Al-Salm ‘Ala Khayr Al-Anam,/41, Raqm-59,

Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/515,

Sakhawi Fi Al-Qawl Al-Badi’ Fi Al-Salah ‘Ala Al-Habib Al-Shafi’,/169,

Maqrizi Fi Imta’ Al-Asma’ Bi-Ma Lil-Nabi Min Al-Ahwal Wa Al-Amwal Wa Al-Hafadah Wa Al-Mata’,10/306,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/280,

Suyooti Fi Ad-Durr Al-Manthoor Fi At-Tafsir Al-Ma’thoor, 01/87,

(01) Dhakarahu Al-Shurunbulali Fi Noor-ul-Iydah Wa Najat-ul-Arwah,/391,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/62, 63, Raqm-37.]