Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 38

38.                  “Hazrat Sa’iyd Bin Abd-il-Aziz RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Jab Ayyame Harrah (Jin Dino’n Yazeed Ne Madinah Munawwarah Par Hamla Karwaaya Tha) Ka Waaqe’a Pesh Aaya To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Masjid Me Teen Din Tak Adhaan Aur Iqaamat Nahin Kee Ga’i Aur Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Jo Ki Jalil-ul-Qadr Taabe’iy Hain Unhone Masjide Nabawi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Panaah Lee Hu’i Thi Aur Unhone Teen Din Tak) Masjid Nahin Chhodi Thi Aur Woh Namaaz Ka Waqt Nahin Jaante Thety Magar Ek Dheemi See Aawaaz Ke Zari’e Jo Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Qabre Anwar Se Sunte They. Phir Unhone Is Ka Ma’na Bhi Bayaan Kiya.”

          Is Hadith Ko Imam Darimi Aur Khatib Tabrizi Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Darimi Fi As-Sunan, 01/56, Raqm-93,

Khatib Tabrizi Fi Mishkat-ul-Masabih, 02/400, Raqm-5951,

Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/291, Raqm-4029,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/64, 65, Raqm-38.]